Imam Suyooti Likhte Hain Ke Imam Tabrani Ne Hazrate Abu Bakar Siddique Radiallaho Ta'ala Anho Se Riwayat Kiya Hai Ke Jo Qaum Jihad Ko Tark Kar Deti Hai, Allah Us Par Azaab Bhejta Hai
Imam Bayhaqi Ne Hazrate Ibne Umar Radiallaho Ta'ala Anhuma Se Riwayat Kiya Hai Ke Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya :
Jab Log Dunyadari, Maal Aur Kheti Baadi Mein Munhamik Ho Jaayein Aur Allah Ki Raah Mein Jihad Ko Tark Kar Dein To Allah Ta'ala Un Par Musibatein Naazil Farmata Hai Aur Jab Tak Wo Apne Deen Ki Taraf Ruju Na Karein Wo Musibatein Un Se Door Nahin Karta
(در منثور، ج1، ص249 بہ حوالہ تبیان القرآن، ج1، ص763)
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here