Likhne Waale Zaroor Padhein

Imam Qastalani Alaihi Rahma Ne Ek Kitab Likhi Jis Mein Unhone Imam Suyooti Alaihi Rahma Ki Kitabo Se Madad Li Lekin Kahin Imam Suyooti Ka Zikr Nahin Kiya
Imam Suyooti Kaha Karte The Ke Unhone Meri Kitabo Se Madad Li Aur Ye Zaahir Nahin Kiya Ke Wo Meri Kitabo Se Naqal Kar Rahe Hain, Ye Ek Qism Ki Khayanat Hai Jo Naqal Mein Mayoob Hai Aur Kuchh Haque Poshi Bhi Hai

Imam Suyooti Ki Is Shikayat Ka Itna Charcha Hua Ke Ye Shikayat Shaykhul Islam, Zainuddin Zakariya Ansari Ke Huzoor Muhakama Ki Shakl Mein Pesh Huyi
Imam Suyooti Ne Imam Qastalani Ko Kayi Jagaho Par Qasoor Waar Thehrate Huye Farmaya Ke Inhone Apni Kitab Mein Kayi Mawaqe Par Bayhaqi Ke Hawale Diye Hain, Zara Ye Batayein Ke Bayhaqi Ki Tasneefat Kis Qadar Inke Paas Maujood Hain Aur Kin Tasneefat Se Inhone Naqal Ki Hai
Jab Imam Qastalani Nishandehi Karne Se Aajiz Rahe To Imam Suyooti Ne Kaha Ke Aapne Meri Kitabo Se Naqal Kiya Hai Aur Maine Bayhaqi Se Pas Aapko Likhte Waqt Ye Zaahir Karna Chahiye Tha Ke Aapne Mujh Se Naqal Kiya Aur Maine Bayhaqi Se Taaki Mujhse Istefade Ka Haque Bhi Ada Hota Aur Tasheeh -e- Naqal Ki Zimmedari Se Bhi Bari Ho Jaate
Imam Qastalani Mulzim Ki Haisiyat Se Majlis Se Uthe Aur Humesha Dil Mein Ye Baat Rakhi Ke Imam Suyooti Ke Dil Se Is Kudoorat Ko Dhoya Jaaye

Ek Roz Isi Irade Se Imam Qastalani Nange Sar Wa Pair Imam Suyooti Se Milne Shehre Misr Se Baahar Nikle Aur Imam Suyooti Ke Darwaze Par Dastak Di, Imam Suyooti Ne Daryaft Kiya Ke Kaun? Imam Qastalani Ne Kaha Ke Main Ahmad Hoon, Barhana Sar -o- Paa Aapke Darwaze Par Khada Hoon Ke Aapke Dil Se Kudoorat Ko Door Kar Ke Aapko Raazi Karoon
Ye Sun Kar Imam Suyooti Ne Andar Se Kaha Ke Maine Dil Se Kudoorat Nikal Di, Lekin Na Darwaza Khola Aur Na Mulaqat Ki! 

(ملخصاً: بستان المحدثين مترجم، ص204، ط میر محمد کتب خانہ کراچی)

Is Waqiye Se Wo Log Sabaq Haasil Karein Jo Dusro Ki Tehreer Ko Apni Taraf Mansoob Karte Hain
Agar Hum Kisi Ki Tehreer Ko Naqal Karte Hain To Chahiye Ke Use Joo Ka Too Rehne Dein
Ye Amr Bhi Laazmi Hai Ke Jisse Istefada Kiya Gaya Hai Uska Zikr Kiya Jaaye

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post