Kitabo Mein Aane Waala Kharch


Kitabo Ke Naam Par Jab Hum Awaame Ahle Sunnat Se Paise Maangte Hain To Shayad Unhein Lagta Hai Ke Is Kaam Mein Zyada Kharch Nahin Aata Jo Ke Unki Ghalat Fehmi Hai

Ek Kitab Kitne Marhalo Se Ho Kar Guzarti Hai Aur Us Par Kahan Kahan Kitna Kharch Aata Hai Is Tafseel Mein Na Ja Kar Filhaal Hum Aapko Bas Kitab Ke Cover (Front Page) Ka Hi Kharch Bata Dete Hain Jisse Aap Andaza Laga Sakenge Ke Poori Kitab Mein Kitna Kharch Aata Hai 


Sirf Ek Cover Banane Ka Charge Indian Currency Ke Hisab Se 5000₹ Hai, Ho Sakta Hai Ye Jaan Kar Kuchh Logon Ko Badi Hairani Ho Aur Unhein Is Mein Ek Zero Zyada Lage To Phir Jab Hum Unhein Ek Logo Banane Ka Charge Batayenge To Do Zeroes Zyada Nazar Aayenge Lihaza Wo Na Bata Kar Isi Ek Zero Waale Par Hi Thodi Baat Kar Lete Hain


Agar Ek Zero Hata Dein To Bhi Kaam Ho Hi Jaata Hai Lekin Wo Kaam Kaisa Hota Hai Isko Thoda Humari Zubani Sun Lijiye, Google Se Tasweerein, Png Files Aur Phool Patti Utha Kar Use Bina Kisi Tariqe Ke Aapas Mein Mila Kar Ek Cover Bana Diya Jaata Hai Aur Zyada Khubsoorat Banana Ho To Ek Qalam Aur Dawat Purane Zamane Waala Kahin Bhi Shamil Kar Diya Jaata Hai Jisse Musannif Se Le Kar Nashir Tak Khushi Ki Lehar Daud Jaati Hai Lekin Formal Designing Kis Chidiya Ka Naam Hai Ye Abhi Is Tabqe Ko Pata Hi Nahin, Koi Bhi Banda Khud Ko Designer Keh Kar Karigari Shuru Kar Deta Hai Jiska Nuqsan Ye Hota Hai Ke Awaam Par Kitab Ka Tassur Achha Nahin Jaata Aur Achhi Kitabo Ka Bhi Ye Log Satyanas Kar Dete Hain, Ye Badi Baat Hai Jiski Wajah Se Deeni Kitabo Se Awaam Door Hui Hai Warna Kitabein To Aaj Bhi Bahut Padhi Ja Rahi Hain


Humne Jis Andaaz Mein Kitabo Ko Shaya Karne Ka Silsila Shuru Kiya Hai Ye Zamane Ke Taqazo Ke Mutabiq Hai Jisse Na Sirf Kitabein Shaya Ho Rahi Hain Balki Logon Mein Kitabein Padhne Ka Zauq Bhi Paida Ho Raha Hai

Baatein To Aur Bhi Kehne Ke Liye Bahut Hain Par Wapas Ek Zero Ki Taraf Aate Hain

Achhi Designing Karwane Ke Liye Ye Charge Jo Humne Bataya Wo Darmiyana Hai, Bahut Zyada Nahin Warna Isse Bhi Zyada Paise Lagte Hain To Ab Hum Iska Aadha Hi Maan Lete Hain Ke Ek Cover Mein Sirf 2500₹ To Agar Mahine Mein 10 Kitabein Shaya Hoti Hain To 25000₹ Sirf Iska Kharch Hai Aur Awaame Ahle Sunnat Is Kaam Ke Liye Paise Kitne Deti Hai Wo Batana Shayad Sharmnak Ho Lihaza Parde Mein Bhalai Hai


Abhi Bhi Waqt Hai Jaagein, Apne Paiso Ko Jalso Mein Na Lagayein, Juloos Mein Barbad Na Karein, Waqt Ka Taqaza Kuchh Aur Hai, Halaat Alag Hain, Samjhein Aur Samjhayein, Fatiha Dargah Urs Qawwali Sab Tarjeehat Ke Khilaf Hain, Asal Tameeri Kaamo Ko Samjhein Aur In Mein Paise Kharch Karein Warna Jahalat Badhti Hi Jayegi Aur Yahi Sabse Badi Beemari Hai


Abde Mustafa

1 Comments

Leave Your Precious Comment Here

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post