Ek hi taqreer baar baar

Kuch muqarrireen ek hi bayan baar baar karte hain, itni baar karte hain ke log be raghbat hone lagte hain. Ek hi waqiye ya ek hi riwayat ko is andaz me musalsal bayan karte hain ke goya koi recording chal rahi ho. Ek muqarrir ko sunna hua jinhone  hamare shehar aa kar ek program main kaha ke "Ye baat maine kahin bayan nahi ki hai pehli baar aap ke samne bayan kar raha hu" aur ittefaq dekhiye ke maine khud kuchh dino qabal unse yah baat kisi dusre shehar mein suni thi. Aisa ittefaq hone ki wajah ye hai ke pehle mera jalson mein bahut zyada jaana hota tha, sau do sau kilometer ki duri par bhi koi jalsa hona hota to pata chalte hi jaane ki taiyari shuru kar deta, ye silsila ek lambe arse tak chala aur bahut sare jalson mein shirkat hui is darmiyan bahut kuchh dekhne aur sunne ko mila ke ab himmat hi nahin hoti ke kisi jalse ke qareeb se bhi guzru, saalo'n hue kisi ek jalse mein bhi jaana nahin hua.

Main baat kar raha tha ratta maarne ki to ye hamare darmiyan bahut zyada hota hai, muqarrireen ke pass ilm ki bahut kami hai. Chand yaad ki hui readymade taqreerein hain jinhen wo aage pichhe karke bayan karte hain, ek bada tabqa inse bezar ho chuka hai aur aisi mahafil se dur ho chuka hai.

Ek muqarrir jo ke ek masjid ke imam hain aur har jum'aa aadhe ghante ke qareeb taqreer karte hain unse michael jackson ke qabool e islam ka waqia darjano martba sunkar yaad kar chuka hun lekin wo ab bhi yaad dahani karwate rahte hain, wo kehte hain ke michael jackson ne ek hadees padhi jise padh kar wo musalman hua jab usse poochha gaya to usne bataya ke wo hadees ye hai ki jab ek yahudi hamare nabi ki bargah mein hazir hua aur kehne laga ke mera baccha kho gaya hai teen din se lapata hai, isi darmiyan ek sahabi ne aa kar kaha ke maine tumhara baccha fulaan baagh main dekha hai yah sunkar wo yahudi foran chalne laga lekin huzoore akram ﷺ ne use rok liya aur farmaya ke yahudi tu ye bata ke jab apne bacche ko dekhega to kya keh kar pukarega usne kaha ke beta keh kar hi pukaruga to nabiye kareem ﷺ ne mana farmate hue ye irshad farmaya ke use beta na kehna kyunki jahan wo baccha hoga waha yateem bacche bhi honge aur jab tu use beta keh kar pukarega to un yateem bacchon ko taklif pahunchegi lihaza use beta keh kar mat pukarna, kehte hain ke michael jackson is hadees ko padh kar musalman hua. 
Uk ke ek mashhoor muqarrir ne isi waqiye ko bayaan karte hue kaha ki yah waqiya ek eisai ke quboole islam ka sabab bana jo oxford university mein padhta tha, is hadees par to yahan ham kuch arz nahin karenge filhal ham ye bayan karna chahte hain ki hamare muqarrireen kisi tarah sirf waqt guzaar rahe hain, aisa mahsus hota hai ki kitabon se inka door door tak ka koi talluq nahin hai agar talluq hai bhi to aisi kitabon se ke jin me bani banai taqreerein hoti hain, muqarireen ki ye halat bahut afsos naak hai isse awam e ahle sunnat per bahut bura asar pad raha hai iski islah honi chahiye!

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post