Jab Aashiqan -e- Mustafa Apne Nabi ﷺ Ki Aamad Ki Khushiya Manate Hain To Kuchh Kalima Padhne Waalo Ko Hi Bahut Takleef Hoti Hai Aur Unki Ye Pareshani Aitraz Ban Kar Humare Saamne Aati Hai
Rabiul Awwal Ki Barahwi Tarikh Ko Huzoor -e- Akram ﷺ Ki Aamad Ka Jashn Manaya Jaata Hai To Is Par Ye Aitraz Kiya Jaata Hai Ke Nabiye Kareem ﷺ Ki Wiladat To 8 Tarikh Ko Huyi Thi Jaisa Ke Aala Hazrat Ne Likha Hai To Phir 12 Tarikh Ko Jashn Kyun?
Haqeeqat Mein Ise Hi Kehte Hain "Khisiyani Billi Khamba Noche" Lekin Yahan To Khamba Bhi Nahin!
Agar Hum Is Baat Ko Tasleem Bhi Kar Lein Ke Aala Hazrat Ne 8 Rabiul Awwal Ko Hi Durust Qarar Diya Hai Aur 8 Hi Tarikh Ko Jashn Manana Shuru Bhi Kar Dein To Kya Inko Takleef Nahin Hogi? Bilkul Hogi Aur Ye Kahenge Ke Jab Jamhoor Ulama Ka Qaul 12 Rabiul Awwal Hai To Phir 8 Tarikh Ko Jashn Kyun?
Dar Asal Yahan Mas'ala Tarikh Ka Nahin Hai Balki Maqsood Musalmano Ko Ek Kaar -e- Khair Se Door Karna Hai
Humein Chahiye Ke Aise Logon Ki Baato Ko Ek Kaan Se Sunein Aur Dusre Kaan Se Nikaal Dein, Ye Log Humare Buzurgo Bil Khusoos Aala Hazrat Rahimahullah Ki Ibaraat Mein Khayanat Karte Hain Aur Aadhi Adhoori Baat Ko Dikha Kar Awaam Ko Gumrah Karna Chahte Hain
Aala Hazrat Rahimahullah Ke Mutalliq Ye Kehna Ke Unke Nazdeek Huzoor -e- Akram ﷺ Ki Tarikh -e- Wiladat 8 Rabiul Awwal Hai, Ye Qatayi Durust Nahin Aur Is Par Zyada Kuchh Na Keh Kar Hum Unke Ek Sher Ko Naqal Karne Par Iktefa Karte Hain
Barahwi Ke Chand Ka Mujra Hai Sajda Noor Ka,
Baarah Burjo Se Jhuka Ik Ik Sitara Noor Ka
(Imam -e- Ahle Sunnat, Aala Hazrat Alaihi Rahma)
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here