Jannat Mein Huzoor ﷺ Ki Shadi

Hazrat Saad Bin Junada Radiallaho Ta'ala Anho Se Riwayat Hai Ke Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Allah Azzawajal Jannat Mein Meri Shadi Hazrate Maryam Binte Imran (Yaani Hazrat Eisa Alaihissalam Ki Walida) Aur Hazrat Aasiya Aur Moosa Alaihissalam Ki Bahan Se Farmayega

(انظر: المعجم الکبیر للطبرانی، مترجم، ج4، ص135، ح5353، ط پروگریسو بکس لاہور)

Ek Aur Riwayat Mein Hai Ke Rasool -e- Kareem ﷺ Ne Hazrate Ayesha Radiallaho Ta'ala Anha Se Irshad Farmaya Ke Kya Tumhein Maloom Hai Ke Allah Azzawajal Jannat Mein Mera Nikah Hazrat Maryam Binte Imran Aur Hazrat Moosa Alaihissalam Ki Bahan Kulsum Aur Firaun Ki (Nek Wa Paarsa) Biwi Aasiya Se Karega

(انظر: المعجم الکبیر للطبرانی، مترجم، ج5، ص724، ح7931، ط پروگریسو بکس لاہور)

Hazrat Allama Mufti Muhammad Imtiyaz Qadri Hafizahullah Likhte Hain Ke Tafseer -e- Saawi Mein Hai Ke Paanch Khawateen Afzal Hain Maryam, Khadija, Fatima, Ayesha Aur Aaisya Radiallaho Ta'ala Anhum Ajmayeen, Bibi Aasiya Aur Bibi Maryam Jannat Mein Huzoor ﷺ Ki Azwaaj (Wives) Mein Se Hongi

(انظر: عطائین اردو شرح تفسیر جلالین، ج1، ص401، ط ادارۂ فیضان رضا کراچی)

Hazrat Allama Mufti Muhammad Akmal Madni Hafizahullah Fatawa Razviya Ke Hawale Se Likhte Hain Ke Hazrat Maryam, Hazrat Kulsum Aur Hazrat Aasiya Ka Nikah Jannat Mein Huzoor ﷺ Se Hoga

(ملخصاً: کیا آپ کو معلوم ہے؟، حصہ1، ص146 بہ حوالہ فتاوی رضویہ قدیم، ج9، ص11)

Hazrat Allama Mufti Abdur Raheem Hafizahullah Tafseer -e- Ibne Kaseer, Tafseer -e- Durre Mansoor, Tafseer -e- Khazin, Tafseer -e- Qurtubi Waghaira Ke Hawale Se Likhte Hain Ke Jannat Mein Hazrat Maryam, Hazrat Aasiya Aur Hazrat Kulsum (Kulsum/Hakeema/Kaleema) Huzoor ﷺ Ki Zaujiyat Se Musharraf Wa Sarfaraz Hongi

(ملخصاً: فتاوی بریلی شریف، ص222، ط زاویہ پبلشرز لاہور)

Mufti Muhammad Yunus Raza Owaisi Hafizahullah Ne Bhi Ye Likha Hai Ke Jannat Mein Hazrat Maryam Ka Nikah Huzoor ﷺ Se Hoga

(ایضاً، ص321)

Abde Mustafa

1 Comments

Leave Your Precious Comment Here

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post