Huzoor Ghause Paak Aur Dhobi Ka Jhoota Waqiya

Bayaan Kiya Jaata Hai Ke Huzoor Ghause Paak Alaihi Rahma Ka Ek Dhobi Tha, Jab Us Ka Inteqal Hua To Qabr Mein Firishto Ne Us Se Sawal Kiye Jaisa Ke Sab Se Karte Hain
Us Ne Har Sawal Ke Jawab Mein Kaha Ke "Main Ghause Paak Ka Dhobi Hoon" Aur Use Bakhsh Diya Gaya

Is Riwayat Ke Mutalliq Faqeeh -e- Millat, Hazrat Allama Mufti Jalaluddin Ahmad Amjadi Rahimahullah Likhte Hain Ke Ye Riwayat Be Asal Hai, Iska Bayaan Karna Durust Nahin Lihaza Jis Ne Ise Bayaan Kiya Wo Is Se Ruju Kare Aur Ayinda Is Riwayat Ke Na Bayaan Karne Ka Ahad Kare, Agar Wo Aisa Na Kare To Kisi Moatmad Kitab Se Is Riwayat Ko Saabit Kare

(انظر: فتاوی فقیہ ملت، کتاب الشتی، ج2، ص411، ط شبیر برادرز لاہور، س2005ء)

Shaarahe Bukhari, Hazrat Allama Mufti Shariful Haque Amjadi Alaihi Rahma Is Riwayat Ke Mutalliq Likhte Hain Ke Ye Hikayat Na Maine Kisi Kitab Mein Dekhi Hai Aur Na Kisi Se Suni Hai
Ahadees Mein Tasreeh Hai Ke (Marne Waala) Agar Momin Hota Hai To Qabr Ke Teeno Bunyadi Sawalo Ka Jawab De Deta Hai, Munafiq Ya Kafir Hota Hai To Ye Kehta Hai Ke Haaye Haaye Main Nahin Jaanta Lihaza Ye Riwayat Hadees Ke Khilaf Hai Magar Ye Baat Haque Hai Ke Hazraat -e- Auliya -e- Kiraam, Ayimma -e- Deen, Buzurgaan -e- Deen Apne Mureedeen, Motaqideen Aur Mutalliqeen Ki Qabro Mein Nakeerain Ke Sawalaat Ke Waqt Tashreef Laate Hain Aur Jawab Mein Aasani Paida Karte Hain

(ملخصاً و ملتقطاً: فتاوی شارح بخاری، کتاب العقائد، ج2، ص125، ط دائرۃ البرکات گھوسی، س1433ھ)

Muftiye Aazam Holland, Hazrat Allama Mufti Abdul Wajid Qadri Rahimahullah Mazkoora Riwayat Ke Baare Mein Likhte Hain Ke Ghaliban Yahi Waqiya Ya Is Ke Misl "Tafreehul Khatir" Mein Hai Lekin Is Ke Bayaan Mein Tehqeeq Zaroori Hai, Yun Hi Mubham Taur Par Bila Tauzeeh Ke Bayaan Karna Khilaf -e- Ehtiyat Hai Jisse Bachna Zaroori Hai

(انظر: فتاوی یورپ، کتاب الصلوٰۃ، ص220)

Hazrat Maulana Muhammad Ajmal Attari Sahab Is Riwayat Ko Naqal Karne Ke Baad Faqeeh -e- Millat Ka Qaul Bayaan Karte Hain Ke Riwayat -e- Mazkoora Be Asal Hai, Is Ka Bayaan Karna Durust Nahin Lihaza Jis Ne Ise Bayaan Kiya Wo Is Se Ruju Kare.... Alakh

(انظر: امام الاولیاء، ص70، ط مکتبہ اعلی حضرت لاہور، س1433ھ)

Abde Mustafa

1 Comments

Leave Your Precious Comment Here

  1. آپ کا نمبر موبائل خراب ہو نے کی وجہ سے غائب ہوگیا ہے اگر آپ
    اگر آپ کے پاس میرا نمبر ہو تو واہٹشاپ پر رابطہ کرلیں

    ReplyDelete

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post