Kya Huzoor Ghause Paak Aur Sarkar Ghareeb Nawaz Ki Mulaqat Huyi?


Chand Ghair Moatbar Kitabo Mein Is Tarah Ke Waqiyaat Darj Hain Jin Se Zaahir Hota Hai Ke Huzoor Ghause Paak Aur Sarkar Ghareeb Nawaz Alaihimur Rahma Ki Mulaqat Huyi Hai Lekin Haqeeqat Ye Hai Ke Dono Buzurgo Ki Mulaqat Saabit Nahin
Is Ki Tafseel Bayaan Karte Huye Shaarahe Bukhari, Hazrat Allama Mufti Shariful Haque Amjadi Alaihi Rahma Likhte Hain :-

Is Par Saare Moarrikheen Ka Ittefaq Hai Ke Sarkar Ghause Paak Radiallaho Ta'ala Anho Ka Wisal 561 Hijri Mein Hua, Is Par Bhi Qareeb Qareeb Ittefaq Hai Ke Hazrate Ghareeb Nawaz Radiallaho Ta'ala Anho Ki Wiladat 537 Hijri Mein Huyi Aur Is Par Bhi Ittefaq Hai Ke Hazrate Ghareeb Nawaz Ne 15 Saal Ki Umr Se Ilme Zaahiri Ke Husool Ke Liye Safar Kiya
Ek Muddat Tak Aap Samarqando Bukhara Mein Ilm Haasil Karte Rahe
Uloom -e- Zaahiri Ki Takmeel Ke Baad Murshid Ki Talash Mein Nikle Phir 20 Saal Tak Murshid Ki Khidmat Mein Haazir Rahe 
20 Saal Ke Baad Khilafat Se Sarfaraz Farmaye Gaye Phir Madina -e- Munawwara Mein Haazir Huye Aur Sarkar -e- Aazam ﷺ Ne Hindustan Ki Wilayat Ata Farmayi

Ab Hisaab Lagayein Ke 15 Saal Ki Umr Tak Hazrate Ghareeb Nawaz Apne Watan Mein Rahe Aur 20 Saal Tak Ilme Zaahir Talab Farmate Rahe To Ye (20+15) 35 Saal Ho Gaye
537 Hijri Mein Wiladat Huyi, 35 Saal Tak Ilme Zaahir Ki Talab Mein Rahe (537+35) Yaani 572 Hijri Mein Aapne Iraq Ka Rukh Kiya Jab Ke Huzoor Ghause Aazam Ka Wisal 561 Hijri Mein Ho Chuka Tha Yaani Hazrate Khwaja Ajmeri Ne Jab Iraq Ka Rukh Kiya Us Se 11 Saal Pehle Huzoor Ghause Paak Ka Wisal Ho Chuka Tha Phir Mulaqat Kaise Huyi?

(ملخصاً و ملتقطاً: فتاوی شارح بخاری، ج2، ص128 تا 131، ط دائرۃ البرکات گھوسی، س1433ھ)

Mazkoora Tafseel Se Ye Baat Bilkul Waazeh Ho Jaati Hai Ke Sarkar Ghause Aazam Aur Sarkar Ghareeb Nawaz Ajmeri Alaihimur Rahma Ki Mulaqaat Saabit Nahin

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post