Shaarahe Bukhari, Imam Qastalani Alaihi Rahma Farmate Hain Ke Huzoor ﷺ Ki Paidayish Ke Mahine Mein Ahle Islam Humesha Se Mehfilein Munaqid Karte Chale Aaye Hain Aur Khushi Ke Saath Khane Pakate Rahe Aur Dawat -e- Ta'aam Karte Rahe Hain Aur In Raato Mein Anwaa -o- Aqsaam (Tarah Tarah Ke) Khairat Karte Rahe Aur Suroor Zahir Karte Chale Aaye Hain Aur Nek Kaamo Mein Humesha Zyadati Karte Rahe Hain Aur Huzoor ﷺ Ke Mawlid -e- Kareem Ki Qiraat Ka Ihtemam -e- Khaas Karte Rahe Hain Jinki Barkato Se In Par Allah Ta'ala Ka Fazl Zahir Hota Raha Hai Aur Iske Khawas Se Ye Amr Mujarrab Hai Ke Ineqad -e- Mehfile Milad Us Saal Mein Aman -o- Amaan Ka Sabab Hota Hai Aur Har Maqsood Wa Muraad Paane Ke Liye Jaldi Aane Waali Khushkhabri Hoti Hai To Allah Ta'ala Us Shakhs Par Bahut Rahmatein Farmaye Jisne Maahe Milad Mubarak Ki Har Raat Ko Eid Bana Liya Taaki Ye Eid Milad Sakht Tareen Illat Ho Jaaye Us Shakhs Par Jiske Dil Mein Marz Wa Inaad Hai
Allama Ibne Haaj Ne Madkhal Mein Taweel Kalaam Kiya Hai Un Cheezo Ka Inkar Karne Mein Jo Logon Ne Bidd'atein Aur Nafsani Khwahishein Paida Kar Di Hain Aur Aalat -e- Muharrama Ke Saath Amal -e- Mawlood Shareef Mein Ghina Ko Shamil Kar Diya Hai To Allah Ta'ala Unko Unke Qasad -e- Jameel Par Sawab De Aur Humein Sunnat Ki Raah Chalaye, Beshak Wo Humein Kaafi Hai Aur Bahut Achha Wakeel Hai
(مواہب اللدنیۃ، ج1، ص27، مطبوعہ مصر)
Allama Qastalani Alaihi Rahma Ki Is Ibarat Se Hasbe Zel Umoor Saabit Huye :-
(1) Maahe Milad (Rabiul Awwal) Mein Ineqad -e- Mahfil -e- Milad Ahle Islam Ka Tariqa Raha Hai
(2) Khane Pakane Ka Ihtemam, Anwaa -o- Aqsaam Ke Khairat Wa Sadqaat Maah -e- Milad Ki Raato Mein Ahle Islam Humesha Karte Rahe Hain
(3) Maahe Rabiul Awwal Mein Khushi Wa Masarrat Wa Suroor Ka Izhaar Shi'aar -e- Muslimeen Hai
(4) Maahe Milad Ki Raato Mein Zyada Se Zyada Nek Kaam Karna Musalmano Ka Pasandeeda Tariqa Chala Aa Raha Hai
(5) Maahe Rabiul Awwal Mein Milad Shareef Padhna Aur Qiraat -e- Milade Paak Ka Ihtemam -e- Khaas Karna Musalmano Ka Mahboob Tarze Amal Hai
(6) Milad Ki Barkato Se Milad Karne Waalo Par Allah Ta'ala Ka Fazle Ameem Humesha Se Zaahir Hota Chala Aaya Hai
(7) Mehfil -e- Milad Ke Khawas Se Ye Mujarrab Khassa Hai Ke Jis Saal Mein Mahafil -e- Milad Munaqid Ki Jaayein Wo Tamam Saal Aman -o- Amaan Se Guzarta Hai
(8) Ineqad -e- Mahafil -e- Milad Maqsood Wa Matlab Paane Ke Liye Bushra -e- Aajila (Jald Aane Waali Khushkhabri) Hai
(9) Milad Mubarak Ki Raato Ko Eid Manane Waale Musalman Allah Ta'ala Ki Rahmato Ke Ahal Hain
(10) Rabiul Awwal Mein Milad Shareef Ki Mehfilein Munaqid Karna Aur Maahe Milad Ki Har Raat Ko Eid Banana Yaani Eid -e- Milad Manana Un Logon Ke Liye Sakht Museebat Hai Jinke Dilo Mein Nifaaq Ka Marz Aur Adawat -e- Rasool Ki Bimari Hai
(11) Allama Ibne Haaj Ne Madkhal Mein Jo Inkaar Kiya Hai Wo Ineqad -e- Mahfil -e- Milad Par Nahin Balki Un Bidd'aat Aur Nafsani Khwahishaat Par Hai Jo Logon Ne Mahafil -e- Milad Mein Shamil Kar Di Thee
Aalaat -e- Muharrama (Restricted Instruments) Ke Saath Gaana Bajana Milad Shareef Ki Mahfilo Mein Shamil Kar Diya Gaya Tha, Aise Munkiraat Par Saahib -e- Madkhal Ne Inkar Farmaya Aur Aise Najayez Umoor Par Har Sunni Musalman Inkar Karta Hai
Saahib -e- Madkhal Ki Ibaraat Se Dhoka Dene Waalo Ko Maloom Hona Chahiye Ke Imam Qastalani Ne Unka Ye Tilism Bhi Tod Phod Kar Rakh Diya Hai
Allama Shaykh Ismayeel Haqqi Rahimahullah Farmate Hain Ke Imam Jalaluddin Suyooti Ne Farmaya Ke Huzoor ﷺ Ki Wiladat -e- Ba Sa'adat Par Shukr Zaahir Karna Humare Liye Mustahab Hai
(تفسیر روح البیان، ج9، ص25)
(ماخوذ از میلاد النبی، غزالی زماں، علامہ سید احمد سعید کاظمی رحمہ اللہ)
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here