Kya Ek Budhiya Humare Nabi Par Kooda Daalti Thi?

Huzoor -e- Akram, Syed -e- Aalam ﷺ Ke Akhlaq -o- Kirdaar Ka Tazkira Karte Huye Ek Waqiya Bayaan Kiya Jaata Hai Ke Ek Boodhi Aurat Thi Jo Rozana Humare Nabi ﷺ Par Kooda Phenka Karti Thi Magar Humare Nabi ﷺ Use Kuchh Nahin Kehte The
Wo Budhiya Jab Beemar Padi To Huzoor ﷺ Uski Iyadat Ke Liye Tashreef Le Gaye Aur Use Duayein Bhi Dee, Jab Us Budhiya Ne Ye Kareemana Andaz Dekha To Iman Le Aayi!

Ye Waqiya Itna Mash'hoor Hai Ke Bachho Se Le Kar Boodho Tak Ko Zubaani Yaad Hai
Agar Kisi Muqarrir Ko Taqreer Ke Liye "Akhlaq -e- Mustafa" Mauzu Diya Jaaye To Is Riwayat Ko Bayaan Kiye Bina Uski Taqreer Hi Mukammal Nahin Hogi Aur Ho Gayi To Ye Anokhi Baat Hai
Kuchh Logon Ki Zubaano Par Ek Jumla Gardish Karte Rehta Hai Ke "Islam Talwar Se Nahin Phaila" Aur Is Jumle Ke Saath Ye Waqiya Aisa Juda Hua Hai Goya Ek Ke Baghair Dusra Adhura Hai
Neez Ek Tabqa Jo Kehta Hai Ke Kisi Ko Bura Bhala Nahin Kehna Chahiye, Wo Bhi Is Waqiye Ko Hifz Zaroor Karta Hai Aur Ise Daleel Bana Kar Kehta Hai Ke Dekho Nabi Ne To Apne Upar Kooda Phenkne Waali Budhiya Ko Bhi Bura Bhala Nahin Kaha Lihaza Humein Bhi Kisi Ko...... Alakh

Hum Aapko Batana Chahte Hain Ke Ye Riwayat Hadees Ki Kisi Kitab Mein Maujood Nahin! Agar Hai To Dikhayi Jaaye
Isi Riwayat Ke Mutalliq Ek Waseeul Mutala Buzurg, Khalifa -e- Huzoor Muftiye Aazam -e- Hind, Shaarahe Bukhari, Hazrat Allama Mufti Shariful Haque Amjadi Alaihi Rahma Se Sawal Kiya Gaya Jiske Jawab Mein Aap Rahimahullah Ne Likha Ke Kooda Karkat Daalne Ki Riwayat Is Waqt Yaad Nahin Hai (Lihaza) Iske Baare Mein Kuchh Nahin Keh Sakta

(فتاوی شارح بخاری، ج1، ص415)

Mujahid -e- Ahle Sunnat, Hazrat Allama Khadim Husain Razvi Sahab Qibla Farmate Hain Ke Ye Riwayat Mauzu Hai Aur Angrezo Ne Ghadi Hai

(علامہ خادم حسین رضوی صاحب قبلہ کے بیان سے ماخوذ)

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post