Shah Waliullah Muhaddise Dehelvi Ke Walid -e- Girami Shah Abdur Raheem Muhaddise Dehelvi Alaihi Rahma Milad -e- Mustafa ﷺ Ki Khushi Mein Khana Banwa Kar Logon Mein Taqseem Karwaya Karte The
Ek Martaba Ittefaqan Kuchh Muyassar Na Aa Saka Ke Kuchh Paka Kar Niyaz Dilwa Sakein Lihaza Thode Se Bhune Huye Chane Aur Qand Par Iktefa Karte Huye Niyaz Dilwayi
Usi Raat Huzoor -e- Akram ﷺ Ki Ziyarat Huyi, Aap ﷺ Ki Bargaah Mein Qism Qism Ke Khane Pesh Kiye Ja Rahe The, Isi Dauran Wo Bhune Huye Chane Aur Qand Bhi Pesh Kiye Gaye, Intehayi Khushi Wa Masarrat Se Aap ﷺ Ne Wo Qabool Farmaye Aur Apni Taraf Laane Ka Ishara Farmaya Aur Thoda Sa Us Mein Se Tanawul Farma Kar Baaqi Ashaab Mein Taqseem Farma Diya
(ملخصاً: انفاس العارفین، ص118، 119، فرید بک سٹال لاہور)
Humein Chahiye Ke Ikhlaas Ke Saath Apne Nabi Paak ﷺ Ki Wiladat Ki Khushi Manayein Taaki Huzoor ﷺ Qabool Farma Lein
Khushi Ke Naam Par Najayez Kaamo Ka Irtekab Karna, Ye Huzoor ﷺ Ki Narazgi Ka Sabab Hai
Allah Ta'ala Humein Buzurgo Ke Naqshe Qadam Par Chalne Ki Toufique Ata Farmaye
Aamin
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here