Ja Tujhe Saat Bete Honge

Hazrate Sayyiduna Ghause Aazam Radiallaho Ta'ala Anho Ki Karamat Bata Kar Ye Riwayat Bayaan Ki Jaati Hai Ke Ek Aurat Aap Ki Khidmat Mein Haazir Huyi Aur Kaha Ke Ya Hazrat Mujhe Beta Do! 
Aapne Farmaya Ke Lauhe Mehfooz Mein Teri Qismat Mein Beta Nahin Hai
Aurat Ne Kaha : Agar Lauhe Mehfooz Mein Hota To Aap Ke Paas Kyun Aati?
Aap Ne Allah Ta'ala Se Arz Kiya Ke Ya Khuda Tu Is Aurat Ko Ek Beta De De
Jawab Aaya Ke Lauhe Mehfooz Mein Nahin
Arz Kiya Ke Do Bete De, Hukm Hua Ke Jab Ek Nahin To Do Kahan Se Doon? 
Arz Kiya Ke Teen Bete De, Irshad Hua Ke Ek Bhi Nahin To Teen Kahan Se Doon? Iski Taqdeer Mein Bilkul Nahin

Jab Wo Aurat Na Ummeed Ho Gayi To Ghause Aazam Ne Ghusse Mein Aa Kar Apne Darwaze Ki Khaak Se Taweez Bana Kar De Di Aur Kaha Ke Ja! Tujhe Saat Bete Honge 
Wo Aurat Khush Ho Kar Chali Gayi Aur Uske Saat Ladke Huye

Is Riwayat Ke Mutalliq Hazrat Allama Mufti Shah Muhammad Ajmal Qadri Rahimahullah Likhte Hain Ke Ye Waqiya Kisi Moatbar Wa Mustanad Kitab Mein Nazar Se Na Guzra Aur Ba Zaahir Be Asal Aur Laghw (Wahiyaat) Maloom Hota Hai, Inse Ihteraz Karna Chahiye Aur "Bahjatul Asraar" Se Hazrat Ki Karamaat Bayaan Karni Chahiyein

(ملخصاً: فتاوی اجملیہ، کتاب الخطر والاباحۃ، ج4، ص9، ط شبیر برادرز لاہور، س2005ء)

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post