Hazrate Sayyiduna Ghause Aazam Radiallaho Ta'ala Anho Ne Apne Mureedeen Ke Liye Jo Basharatein Irshad Farmayi Hain Ke Mera Mureed Baghair Tauba Ke Na Marega Aur Main Uske Liye Jannat Ka Zaamin Hoon Waghaira, Inko Bayaan Karte Huye Etidal Ko Malhooz Rakhna Bahut Zaroori Hai
Humare Kehne Ka Matlab Ye Hai Ke Awaamun Naas Ke Saamne Ye Ya Is Tarah Ki Baato Ko Is Andaaz Mein Pesh Na Kiya Jaaye Jisse Wo Maidan -e- Amal Mein Hathyar Daal Dein Aur Isi Ummeed Par Nek Kaamo Ko Tark Kar Dein Ke Humare Liye To Jannat Ki Basharat Rakhi Huyi Hai
Iska Ye Matlab Bhi Nahin Ke In Basharato Ko Chhupaya Jaaye Aur Sirf Khauf Paida Karne Ke Liye Aisa Tarz Apnaya Jaaye Ke Ek Aam Aadmi Ye Samajh Baithe Ke Ab To Humara Kuchh Ho Hi Nahin Sakta Aur Jahannam Humare Liye Tayyar Hai
Mukhtasar Ye Ke Khauf Wa Ummeed Ke Darmiyan Raha Jaaye
Imam Faqeeh Abulais Nasr Samarqandi Hanfi Alaihi Rahma Isi Amr Ki Baabat Likhte Hain Ke Waayiz (Muqarrir) Khauf Wa Ummeed Dono Ko Apna Mauzu -e- Sukhan Banaye
Sirf Khauf Ya Sirf Ummeed Ke Mauzu Par Bayaan Na Kare Kyunki Aisa Karna Mamnoo Hai
(انظر: بستان العارفین للسمرقندی، ص58)
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here