Daro Khuda Se Hosh Karo Kuch, Makro Riya Se Kaam Na Lo
Ya Islam Par Chalna Seekho, Ya Islam Ka Naam Na Lo
Maujooda Zamane Mein Musalmano Ko Apna Imaan Aur Aqeeda Bachana Bahut Mushkil Ho Gaya Hai. Imaan Ke Chor Apni Chaalbazo Aur Faraib Karo'n Ke Zariye Bhole Bhale Musalmano Ki Aakhirat Barbaad Karne Me Koi Kasar Baki Nahi Chhod Rahe Hain. Aise Me Zaruri Hai Ke Humein Ulama -E- Haq Ki Taraf Ruju Karna Chahiye Taaki Hum Gumrah Firqon Ke Faraibkaariyo Se Aagah Ho Sakein Aur Apne Imaan Aur Aqide Ki Hifazat Kar Sakein.
Abhi Kuch Dino Pehle Maqala Banam "Islaah Samaj Ki Buniyadi Batein" Nazar Se Guzra Jisko "Aalamin Educational and Welfare Society Bareily" Ki Janib Se Shaya Kiya Gaya Tha, Padh Kar Bahut Hairat Huyi Ki Aaj Ke Naam Nihad Musalmano Ko Kya Ho Gaya Hai Jo Kafiron Ke Qadmo Me Gire Jaa Rahe Hai. Jin Logon Ke Sath Islam Muhabbat Karne Ko Haraam Qaraar Deta Hai Unhi Ko Apne Bhai Bata Kar Musalmano Ko Unse Muhabbat Karne Ka Hath Badhaya Ja Raha Hai Aur Shariate Islamiya Ko Majrooh Kiya Jaa Raha Hai
Kaafir Ki Maut Se Bhi Darta Ho Jiska Dil,
Kon kehta Hai Use Ki Momin ki Maut Mar.
Us Maqale Me Surah Nisa Ki Pehli Aayat Ka Hawala Dete Huye Zaahir Kiya Gaya Ke "Saare Insaan Aapas Me Bhai Bhai Hai Chahe Wo Kisi Bhi Dharm Ke Ho Lihaza Humein Kisi Se Nafrat Nahin Karna Chahiye"
Quraan Pak Ke Aap Tamam Tarajim Wa Tafsir Padh Lein Lekin Aapko Is Aayat Ka Ye Matlab Nahi Milega Lekin Afsos Sad Afsos Kaafiron Aur Mushriqon Ko Apna Bhai Banane Ke Liye Ye Log Is Had Tak Guzar Gaye Ke Maaz'Allah Inhone Quraan Par Jhuth Bandha Aur Quraan Par Jhuth Ka Matlab Inhone Allah Par Juth Bandha!
Irshade Rabbani Hai:
فَمَنۡ اَظۡلَمُ مِمَّنِ افۡتَرٰی عَلَی اللّٰہِ کَذِبًا اَوۡ کَذَّبَ بِاٰیٰتِہٖ
(سورۂ اعراف، 37)
Tarjuma : "Is Se Badh Kar Zalim Kaun Jisne Allah Par Jhuth Baandha Ya Uski Aayatein Jhutlayi"
Hum Qur'aan Majeed Se Kuch Aayat Pesh Kar Rahe Hai Jinhein Padh Kar Aap Ka Zehan Bilkul Saaf Ho Jayega Ke Allah Ne Humein Kya Karne Ka Hukm Diya Hai Aur Hum Kya Kar Rahe Hai Aur Naam Nihad Musalmano Ka Shaq Bhi Dur Ho Jayega.
In Shaa Allah
(1) Musalman-Musalman Bhai Bhai Hai
(Surah Hazraat:10)
(2) Muslaman Kaafiro Ko Apne Dost Na Bana Le, Muslamano Ke Siwa Jo Aisa Karega Use Allah Se Kuch Ilaaqa Na Raha. (Surah Aale Imran:28)
(3) Aye Imaan Waalon! Apne Baap Aur Apne Bhaiyo Ko Dost Na Samjho Agar Woh Imaan Par Kufr Pasand Kare Aur Tum Me Se Jo Koi Unse Dosti Kare. (Surah Tauba:23)
(4) Aye Imaan Waalon! Jinhone Tumhare Deen Ko Hansi Khel Bana Liya Hai Wo Jo Tumse Pahle Kitaab De Gaye (Yahood o Nasara) Aur Kaafir Un Mein Se Kisi Ko Dost Na Banao Allaah Se Darte Raho Agar Imaan Rakhte Ho.
(Surah Maaida:57)
(5) Zarur Tum Musalmano Ka Sab Se Badh Kar Dushman Yahoodiyo Aur Mushriqo ko Paaoge.
(Surah Maaida:82)
Mazkurah Aayat Se Hume Pata Chal Gaya Ke Kafiron Aur Mushriqon Se Dosti Karna Kaisa Hai
Allah Ne Yahan Tak Farmaya Ke Jo Koi Unse Dosti Karega To Allah Se Uska Kuch Ilaaqa Nahi Yani Woh Seedha Jahannam Rashid Ho Jayega. Aur Doosri Jagah Irshad Farmaya Agar Tumhare Baap Aur Bhai Bhi Imaan Aur Kufr Ko Sirf Pasand Kare To Unse Bhi Dosti Na Nibhao. Unhein Bhi Doodh Mein Se Makkhi Ki Tarah Nikaal Kar Phenk Do Aur Farmaya Kafiron Ne Tumhare Deen Ka Hansi Khel Bana Liya Hai To Tum Kaise Unhein Bhai Ya Dost Bana Sakte Ho Aur Agar Tum Imaan Wale Hoge Allah Se Darte Hoge To Hargiz Unhein Dost Nahi Banaoge.
Allah Ta'ala Ne Musalmano Ka Sabse Bada Dushman Yahoodiyo Aur Mushriko Ko Bataya. Hum Jis Mulk Me Reh Rahe Hai Isme Taadaad Ke Hisab Se Mushriq Zyada Hain Isliye Humare Sab Se Badh Kar Dushman Mushriq Hain. Afsos Aaj Naam Nihad Musalman Allah Ke Farman Ko Bhool Kar Mushriko Ke Talwe Chatte Nazar Aa Rahe Hai Aur Unke Sath Dosti Nibhate Nazar Aa Rahe Hai Kya Isiliye Tumhein Musalman Banaya Gaya Tha Ki Tum Duniya Me Aa Kar Kafiron Mushriqo se Muhabbat Aur Ulfat Ka Dars Do.
Aaj Tum Allah Uske Rasool Nabi -E- Kareem ﷺ Ko Naraaz Kiya Hai. Tabhi Musalman Dar Dar Ki Thokrein Khaa Rahe Hain. Aaj Musalman Har Jagah Musibato Me Nazar Aa Rahe Hai. Sirf Isliye Ke Tum Apne Deen Ko Chhorh Kar Kufr Me Izzat Talash Karne Lag Gaye Ho. Kafiro Se Muhabbat Ka Paath Padhne Waale Apni Aakhirat Ka Janaza Na Nikaalein Aur Haan! Agar Unhein Kufr Pasand Hai To Islam Ka Naam Na Lein. Aur Na Aise Maqale Chhap Kar Musalmano Ko Kafiro Se Muhabbat Karne Ka Dars Dein. Izzat Allah Ke Hath Mein Hai Aur Tum Kafiro Se Izzat Ki Bhikh Mangte Ho.
Irshade Rabbani Hai:
Wo Jo Musalmano Ko Chodh Kar Kaafiron Ko Dost Banate Hain Kya Unke Pas Izzat Dhoondhte Hai To Izzat To Saari Allah Ke Liye Hai.
Na Le Kafiron Se Madad Koi Sunni
Sulah Kali Fitne Mita Taaj Wale
Humara Deen Humein Har Kisi Se Pyaar Muhabbat Karne Ki Ijajat Nahi Deta Kyun Ki Jaisa Humare Liye Khaane Pine Ki Hadein Bani Huyi Hain Ki Ye Halaal Hai Ye Haraam Hai Aise Hi Dosti Aur Dushmani Ki Bhi Hadein Hai Ki Ye Dosti Haraam Hai Aur Ye Halaam.
Kafiron Se Dosti Nibhane Walo Ke Liye Saja:
Irshade Rabbani Hai:
لَا تَرۡکَنُوۡۤا اِلَی الَّذِیۡنَ ظَلَمُوۡا فَتَمَسَّکُمُ النَّار
Tarjuma : Aur Zaalimo Ki Taraf Na Jhuko Ke Tumhein Aag Chhuyegi.
(Surah Hood:113)
Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Rahmatullah Alaih Is Aayat Ke Tafseer Me Farmate Hai:
Hargiz Maa'yil Na Honaa Un Badbakht Kafiro Ki Taraf Jo Duniya Jahan Me Khaali Raha. Yani Qauli Aur Amali Muhabbat Tu Darkinaar Un Ki Tareef Ka Dil Me Khyaal Tak Na Aane Paye Na Unke Kisi Amal Se Khus Hona, Na Deen Ke Muqable Kabhi Kisi Muamle Me Kisi Kafir Ki Ita'at Karna, Na Kafiron Aur Badkaaron Ki Majliso Sohbato Me Bethna. Unme Se Jo Kaam Bhi Kiya Jaye To Maa'ilan(Yani Kafiro Ki Taraf Jhukna) Paya Gaya. Lihaaza Aye Musalmano Agar Tum Baaz Na Aaye To Allah Aur Uske Rasool Alaihissalam Ki Muhabbat Tum Se Mit Jayegi Uska Anjaam Kya Hoga Tum Ko Jahannam Ki Aag Bhadakti Huyi Chhuyegi Aur Uska Chhuna Bhi Bada Azaab Hai. Ye To Sirf Milan Zalim Ki Saja Hai To Andaza Lagao Ke Zalim Ki Saja Kya Hogi!
Musalman Kaun:
Irshade Rabbani Hai:
(1) فَلَا وَ رَبِّکَ لَا یُؤۡمِنُوۡنَ حَتّٰی یُحَکِّمُوۡکَ فِیۡمَا شَجَرَ بَیۡنَہُمۡ ثُمَّ لَا یَجِدُوۡا فِیۡۤ اَنۡفُسِہِمۡ حَرَجًا مِّمَّا قَضَیۡتَ وَ یُسَلِّمُوۡا تَسۡلِیۡمًا
To Aye Mehboob! Tumahre Rab Ki Qasam Wo Musalman Na Honge Jab Tak Ki Apne Aapas Ke Jhagde Me Tumhein Haakim Na Banaye. Phir Jo Kuch Tum Hukm Farma Do Apne Dilon Me Is Se Rukawat Na Banaye Aur Use Maan Lein.
(Surah Nisa:65)
Yani Musalman Wahi Hai Jo Apne Deeni Aur Duniyaawi Muamlo'n Me Huzoor Alaihissalam Ke Hukm Ko Maane. Jaisa Ki Huzoor Alaihissalam Ne Farmaya : Aisa Kare Apni Taraf Se Deen Me Taweelein Na Kare.
(2) لَا تَجِدُ قَوۡمًا یُّؤۡمِنُوۡنَ بِاللّٰہِ وَ الۡیَوۡمِ الۡاٰخِرِ یُوَآدُّوۡنَ مَنۡ حَآدَّ اللّٰہَ وَ رَسُوۡلَہٗ وَ لَوۡ کَانُوۡۤا اٰبَآءَہُمۡ اَوۡ اَبۡنَآءَہُمۡ اَوۡ اِخۡوَانَہُمۡ اَوۡ عَشِیۡرَتَہُمۡ ؕ اُولٰٓئِکَ کَتَبَ فِیۡ قُلُوۡبِہِمُ الۡاِیۡمَانَ وَ اَیَّدَہُمۡ بِرُوۡحٍ مِّنۡہ
Yaani Musalman Wahi Hai Jo Allah Aur Uske Rasool Alaihissalam Se Mukhalifat Karne Wale Ko Apna Dushman Jane. Chahe Wo Uske Baap Ya Kisi Dost Ya Bhai Ya Rishte Dar Hi Kyun Na Ho.
(3) یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا مَنۡ یَّرۡتَدَّ مِنۡکُمۡ عَنۡ دِیۡنِہٖ فَسَوۡفَ یَاۡتِی اللّٰہُ بِقَوۡمٍ یُّحِبُّہُمۡ وَ یُحِبُّوۡنَہٗۤ ۙ اَذِلَّۃٍ عَلَی الۡمُؤۡمِنِیۡنَ اَعِزَّۃٍ عَلَی الۡکٰفِرِیۡنَ
Aye Imaan Waalon! Tum Mein Jo Koi Apne Deen Se Phire Ga (Yani Murtad Ho Jayega) To Anqareeb Allah Aise Log Layega Ke Wo Allah Ke Pyaare Aur Allah Unka Pyaara, Musalmano Par Narm Aur Kafiron Par Sakht.
(Surah Maaidah:54)
Yani Musalmano Ki Pahchaan Ye Hai Ke Wo Apne Musalman Bhai Ke Liye Narm Hote Hai Kafiron Ke Liye Sakht Hote Hai.
Allah Ta'ala Humein Kafiron, Badmazhabo, Gumrahon, Zaalimon Ki Muhabbat Se Bachaye Aur Musalmano Se Acche Akhlaq Se Paish Aane Ki Taufeeq Ataa Farmaye Ameen.
Ahqar Muhammad Hassan Raza Rayeeni
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here