Purane Zamane Ke Jhoote Muqarrireen

Aaj Humare Beech Kaseer Tadaad Mein Aise Muqarrireen Maujood Hain Jo Jhooti Riwayaat Aur Manghadat Qisse Bayaan Karne Mein Mahir Hain
Aise Muqarrireen Ki Tarikh Bahut Purani Hai Chunanche Imam Ibne Qutaiba (Mutawaffa 276 Hijri) Apne Zamane Ke Muqarrireen Ke Baare Mein Kya Likhte Hain Use Padhein, Aisa Lagta Hai Ke Daure Haazir Unki Nazro Mein Hai

Aap Likhte Hain Ke Ye Waayizeen Jab Jannat Ka Zikr Karte Hain To Kehte Hain Is (Jannat) Mein Mushk Ya Zafran Ki Hoorein Hongi, Inke Badan Ki Banawat Aisi Hogi, Allah Ta'ala Ne Apne Waliyo Ke Liye Motiyo Ka Safed Mahal Banaya Hai Jis Mein Sattar Hazaar Ye Hoga Sattar Hazaar Wo Hoga Aur Phir Wo Muqarrir Sattar Sattar Hazaar Ki Itni Cheezein Bayaan Karega Ke Goya Jannat Mein Kisi Cheez Ki Tadaad Sattar Hazaar Se Kam Hona Jaayez Hi Nahin 

(Aap Mazeed Likhte Hain Ke) Jitna Ye (Hairat Angez Riwayatein) Zyada Hongi Utna Hi Tajjub Aur Pasandeedgi Mein Izafa Hoga Aur Utna Hi Der Tak Log Inke Paas Baithenge Aur Phir Itni Hi Tezi Se Bakhshish Aur Inamaat Pesh Kiye Jaayenge

(تاویل مختلف الحدیث لابن قطیبہ الدینوری، ص28 بہ حوالہ الدخیل فی التفسیر: احمد شحات موسی، ص59)
(ماخوذ از نقد و نظر)

Hazaaro Saal Pehle Bhi Aise Muqarrireen Maujood The Jo Logon Ko Hairan Karne Ke Liye Aur Unse Nazrane Wasool Karne Ke Liye Qisse Kahaniya Sunaya Karte The, Aaj Bhi Aise Muqarrireen Ki Bharmaar Hai Jinko Awaam Mein Maqbooliyat Bhi Haasil Hai
Inki Bayaan Karda Riwayat Maano Pathhar Ki Lakeer Hai Yaani Jo Inhone Bayaan Kar Diya Wo Ghalat Ho Hi Nahin Sakta
Inke Muqable Mein Log Bade Se Bade Aalim Ki Baat Manne Ko Bhi Tayyar Nahin Hote
Ab To Bas Itna Hi Kaha Ja Sakta Hai Ke Allah Bachaye Aise Muqarrireen Se

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post