Mash'hoor Kitab "Tafreehul Khatir" Mein Huzoor Sayyiduna Ghause Aazam Radiallaho Ta'ala Anho Ki Nisbat Se Ye Riwayat Dakhil Hai Ke Aap Radiallaho Ta'ala Anho Ka Ek Khadim Faut Ho Gaya
Uski Biwi Aapki Khidmat Mein Haazir Huyi Aur Aah Wazari Karne Lagi
Usne Aapse Apne Shauhar Ko Zinda Karne Ki Iltija Ki
Aapne Ilme Batin Se Dekha Ke Malkul Maut Us Din Qabz Ki Gayi Tamam Rooho Ko Le Kar Aasman Par Ja Rahe Hain
Aapne Use Roka Aur Kaha Ke Mere Khadim Ki Rooh Wapas Kar Do To Malkul Maut Ne Ye Keh Kar Mana Kar Diya Ke Maine Ye Roohein Allah Ta'ala Ke Hukm Se Qabz Ki Hain
Jab Malkul Maut Ne Rooh Wapas Nahin Ki To Aapne Rooho Ki Tokri (Jis Mein Us Din Qabz Ki Gayi Tamam Roohein Thi, Wo) Chheen Li! Isse Hua Ye Ke Jitni Roohein Thi Wo Sab Apne Apne Jismo Mein Wapas Chali Gayi
Malkul Maut Ne Allah Ta'ala Ke Huzoor Arz Ki : Maula Tu To Jaanta Hai Jo Takraar Aaj Mere Aur Abdul Qadir Ke Darmiyan Huyi, Usne Tamam Arwaah Chheen Li
Is Par Allah Ta'ala Ne Irshad Farmaya Ke Aye Malkul Maut Beshak Abdul Qadir Mera Mahboob Hai, Tu Ne Us Ke Khadim Ki Rooh Ko Wapas Kyun Nahin Kiya? Agar Ek Rooh Ko Wapas Kar Dete To Itni Roohein Apne Haatho Se De Kar Pareshan Na Hote
(ملخصاً: تفریح الخاطر فی مناقب الشیخ عبد القادر، المنقبۃ الثامنۃ، ص68، ط قادری رضوی کتب خانہ لاہور)
Isi Riwayat Ke Baare Mein Imam -e- Ahle Sunnat, Aala Hazrat Rahimahullah Se Sawal Kiya Gaya, Bas Farq Itna Hai Ke Yahan Khadim Ki Biwi Ka Zikr Hai Aur Sawal Mein Khadim Ke Bete Ka
Sawal Mein Ye Izafa Bhi Hai Ke Jab Malkul Maut Ne Rooh Wapas Karne Se Inkar Kiya To Huzoor Ghause Paak Ne Unhein Ek Thappad Maara Jisse Malkul Maut Ki Aankh Baahar Nikal Gayi!
Aala Hazrat Radiallaho Ta'ala Anho Ne Jawaban Irshad Farmaya Ke Ye Riwayat Iblees Ki Ghadi Huyi Hai Aur Is Ka Padhna Aur Sunna Dono Haraam! Ahmaq, Jahil, Be Adab Ye Samajhta Hai Ke (Is Riwayat Ko Bayaan Kar Ke) Hazrate Ghause Aazam Ki Tazeem Karta Hai Halanki Wo Huzoor Ki Sakht Tauheen Kar Raha Hai
(انظر: فتاوی رضویہ، ج29، ص630، ط رضا فاؤنڈیشن لاہور، س1426ھ)
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here