Hazrate Abdullah Danaaj Aur Salamata Bin Abdur Rahman Bin Auf Basra Ki Jaama Masjid Mein Baithe Huye The, Imam Hasan Basari Aaye Aur Wo Bhi Wahin Baith Gaye
Hazrate Abdullah Danaaj Ne Hadees Bayaan Ki :
Nabiye Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Beshak Chand Aur Suraj Qiyamat Ke Din Do Bail Honge Jin Ko Lapet Kar Dozakh Mein Daal Diya Jayega!
Imam Hasan Basari Ne Puchha :
Un Ka Kya Gunah Hoga Jo Unhein Dozakh Mein Daal Diya Jayega? To Abdullah Danaaj Ne Kaha Ke Main Tum Ko Rasoolullah ﷺ Ki Hadees Suna Raha Hoon
Ye Sun Kar Hasan Basari Khamosh Ho Gaye
Is Ka Jawab Ye Hai Ke Inhein Dozakh Mein Daalna Ba Taur -e- Saza Nahin Hai Balki Suraj Aur Chand Ki Parastish Karne Waalo Ki Mazammat Aur Un Ko Ruswa Karne Ke Liye Inhein Dozakh Mein Daala Jayega Ke Dekho! Jin Ko Tum Khuda Samajhte The Aur Jin Ki Parastish Karte The, Tum Ko Azaab Se Bachana To Darkinaar Aaj Wo Khud Dozakh Mein Pade Hain Aur Khud Ko Dozakh Se Nahin Nikal Sakte
(اعلام الحدیث فی شرح صحیح البخاری للامام ابی سلیمان حمد بن محمد الخطابی، ص1476، ر3200-
مشکوٰۃ المصابیح، ج3، ص107، ر5692-
نعم الباری فی شرح صحیح البخاری، ج6، ص224، 225)
Hazrat Allama Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi Alaihi Rahma Likhte Hain Ke Chand Aur Suraj Azaab Paane Ke Liye Dozakh Mein Nahin Jaayenge Balki Apne Pujariyo Ko Azaab Dene Jayenge
In Ki Garmi Azaab Ki Garmi Se Mil Kar Azaab Ko Do Baala Kar Degi,
Dekho! Dozakh Mein Azaab Dene Ke Liye Firishte Bhi To Honge Magar Wo Azaab Paane Ke Liye Wahan Nahin Gaye Balki Azaab Dene Ke Liye Honge,
Neez Chand Aur Suraj Noor Hain Aur Noor Ko Naar Takleef Nahin Deti,
Dekho Momineen, Gunahgaro Ko Nikalne Ke Liye Dozakh Mein Jaayenge Magar Bilkul Takleef Na Paayenge
(مرآۃ المناجیح شرح مشکوٰۃ المصابیح، ج7، ص405، ح5692)
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here