Dard Ummati Ko, Takleef Jannati Hoor Ko!

Hazrat Sayyiduna Maaz Bin Jabal Radiallaho Ta'ala Anho Farmate Hain Ke Rasool -e- Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Jab Koi Aurat Apne Shauhar Ko Tang Karti Hai To (Jannati) Hoorein Jo Ke Jannat Mein Us (Shauhar) Ki Zauja Hongi, Kehti Hain:
Aye Aurat! Ise Tang Na Kar, Tera Satyanas Ye Shauhar To Tere Paas (Kuchh Dino Ka) Mehman Hai Anqareeb Ye Tujhe Chhod Kar Humare Paas Aa Jayega

(انظر: ابن ماجہ، باب فی المراۃ توذی زوجها، ج1، ص560، ملخصاً)

Is Hadees Ko Bayaan Karne Ka Maqsad Sirf Ye Batana Nahin Hai Ke Aurato Ko Apne Shauhar Ko Takleef Nahin Deni Chahiye Balki Is Riwayat Se Do Aham Mas'ale Bhi Maloom Huye:
(1) Agar Kisi Bande Ko Door Se Pukarna Shirk Hota To Jannati Hoorein Dunya Ki Aurato Ko Na Pukarti Aur Jo Kehta Hai Ke Nabi Ko Pukarne Se Masjid Gandi Ho Jaati Hai To Phir Ba Qaul Uske Ghaire Nabi Ko Pukarne Ki Wajah Se Jannat Bhi Gandi Ho Jaani Chahiye 
(2) Jab Koi Aurat Dunya Mein Apne Shauhar Ko Tang Karti Hai To Jannat Ki Hoor Sun Leti Hai, Jab Jannat Ki Ek Makhlooq Ki Sama'at Ka Ye Aalam Hai To Malik -e- Jannat, Saahib -e- Shariat ﷺ Ki Sama'at Ka Kya Aalam Hoga

Mumkin Hai Ke Kisi Ke Pet Mein Is Hadees Ki Sanad Ko Le Kar Dard Uthe Lihaza Dawa Ke Taur Par Hum Batana Chahte Hain Ke Nasiruddin Albani Ne Is Hadees Ko Sahih Kaha Hai

(صحیح سنن ابن ماجہ، جلد1، صفحہ نمبر341)

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post