Jo Likhna Jaante Hain Unhein Koshish Karni Chahiye Ke Achha Likhein Taaki Dusre Bhi Use Padh Kar Samajh Sakein
Kuchh Log Aisa Likhte Hain Ke Khud Samajh Sakein, Bas Kaghaz Par Qalam Ko Jaise Taise Ragad Dete Hain
Hazrate Umar Faruque Radiallaho Ta'ala Anho Ko Hazrate Amr Bin Aas Radiallaho Ta'ala Anho Ka Khat Mausool Hua Jis Mein "Bismillah" Ka "Seen" Reh Gaya Tha
Hazrate Umar Ne Jawabi Khat Mein Likha Ke "Apne Katib Ko Kode Lagao" Chunanche Hazrate Amr Bin Aas Ne Use Kode Lagaye
(مناقب امیر المومنین عمر بن الخطاب، ص125)
Hazrate Umar Farmate Ke Sab Se Kharaab Tehreer Wo Hai Jo Lambi Tirchhi Ho Aur Sab Se Behtareen Likhayi Wo Hai Jo Bilkul Waazeh Ho
(الجامع الاخلاق الراوی، ج1، ص262 بہ حوالہ فیضان فاروق اعظم)
Waise Aaj Kal To Typing Ka Daur Hai, Kaghaz Aur Qalam Ka Istemal Kam Hota Ja Raha Hai, Sab Online Hi Ho Jaata Hai, Is Mein Likhayi Lambi Tirchhi To Nahin Hoti Lekin Is Baat Ka Khayaal Rakhna Zaroori Hai Ke Koi Harf Reh Na Jaaye
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here