Aurat Ne Sahih Kaha

Ek Martaba Hazrate Umar Faruque Radiallaho Ta'ala Anho Ne Irshad Farmaya :
Aurat Ka Haqqe Mehar Chalees Oqiya Se Zyada Na Karo Warna Jo Zyada Hoga Use Baitul Maal Mein Jama Kar Diya Jayega

Ek Aurat Boli :
Aye Ameerul Momineen! Ye Aap Farma Rahe Hain Halanki Quraan -e- Paak Mein To Allah Ta'ala Yun Irshad Farmata Hai Ke Agar Tum Ek Bibi Ke Badle Dusri Badalna Chaho Aur Use Dhero Maal De Chuke Ho To Us Mein Se Kuchh Waapas Na Lo

Ye Sun Kar Aap Radiallaho Ta'ala Anho Ne Irshad Farmaya :
"Aurat Ne Sahih Kaha Aur Ek Mard Ne Khata Ki" 

(کنز العمال، کتاب النکاح، ج8، ص226، ح45792 بہ حوالہ فیضان فاروق اعظم) 

Allahu Akbar! Ye The Allah Waale Jo Islah Ke Darmiyan Nafs Ko Haayil Nahin Hone Dete The
Aaj To Halaat Ye Hain Ke Agar Kisi Ko Us Ki Ghalati Batayi Jaaye To Bajaye Fauran Apni Islah Karne Ke, Pehle Ye Dekhta Hai Ke Use Ghalat Kehne Waala Hai Kaun Aur Phir Agar Wo Chhota Hua To Usi Par Baras Padta Hai

Khamiya Batane Waala Koi Bhi Ho, Is Se Matlab Nahin Balki Us Ka Shukr Ada Karna Chahiye Ke Us Ne Aap Ko Aagah Kiya Warna Kya Maloom Ke Wo Khamiya Aap Ko Kahan Kitna Nuqsan Pahuncha Deti

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post