Sabhi To Baaje Baja Rahe Hain
Ye To Haqeeqat Hai Ki Meelad -E- Mustafa Pe Siwaye Iblees Ke Jahan Mein Sabhi To Khushiyan Mana Rahe Hain, Kyon Ki Huzoor ﷺ Ki Wiladat Ki Khushi Manane Se Iblees Aur Us Ke Chelon Ko Hi Aitraaz Ho Sakta Hai
Lekin Aaj Kal Jo Khushi Manane Ka Tareeqa Logon Ne Apna Rakha Hai, Ise Dekh Kar Ye Kahna Bhi Theek Hoga Ki "Siwaye Ulama Ke Is Jahan Mein Sabhi To Baaje Baja Rahe Hain"
Ulama Mana Kar Kar Ke Thak Chuke Hain Lekin Aawam Sunti Kahan Hain, Inhein To Bas Baaja Bajana Hai To Bajana Hai
Juloos -E- Muhammadi Us Juloos Ko Kahte Hain Jo Shariat -E- Muhammadi Ke Mutabiq Ho
Lekin Humare Juluso Mein To Shariat Kahin Nazar Hi Nahin Aati, Namazen Chodh Kar Julooson Mein Ghoomna, Music Ki Dhun Par Uchhal Kood Karte Huye Naare Baaji Karna, Chhaton Aur Darwazon Par Khadi Aurton Par Nazarein Bandhna Aur In Sab Ko Meelad Ki Khushi Ka Naam Dena Bilkul Ghalat Hai, Is Se Iblees To Raazi Ho Sakta Hai, Allah Aur Us Ke Rasool Nahin
Khushi Manane Ka Ye Tareeqa Bhi Ho Sakta Hai Ki Hum Apne Nabi Ki Seerat Par Likhi Gayi Kitaabon Ka Mutala Karein Aur Agar Allah Ne Maalo Daulat Se Nawaza Hai To Dusron Ko Bhi Kitaab Tohfe Mein Pesh Karein, Ghareebon Ko Khana Khilayein, Zarurat Mandon Ki Madad Karein, Ghareeb Ladkiyon Ki Shaadi Karwa Dein, In Sha Allaah Huzoor -E- Akram ﷺ Hum Se Khush Ho Jayenge
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here