Aap apne maqsad mein kis qadar sanjeeda hain?
Pehli baat to yeh hai ke hamare naujawaano ke paas koi achha maqsad nahin hai aur phir naujawan hi kya, jo ulama hain un mein bhi aksariyat aison ki hai ke wo apni zindagi mein koi bada maqsad nahi rakhte aur ab baat ki jaaye un ki ke jin ke paas waqai koi maqsad hai ya wo apne maqasid ko bayaan karte hain to un mein bhi aise log hain jo qurbaniyan nahi dena chahte, yaani maqsad to hai lekin usko le kar sanjeeda nazar nahi aate
Koi daawa karta hai ya badi badi baatein karta hai lekin us se dunya nahi chhodi jaati, Aise logon ko dekha jaata hai ke shaadi-byaah mein shareek hona, ghoomna-phirna aur hansi mazaaq karte phirna aur fuzooliyat ya ghair zaroori cheezon mein saara ka saara ya kaafi zyada waqt laga dena bilkul afsos ka baais nahi hota jis se yeh to tay hota hai ke yeh log apne maqsad ko le kar kitne sanjeeda hain
Aise logon ki kasrat hogi aur khawaas mein bhi dekhne ko milegi to phir qaum ke liye kuchh bada ya tameeri ya inqalabi kaam bhala kaise ho sakta hai? Haal toh yeh hai ke jo kaam karne waale hain aur apne maqsad ko le kar waqai sanjeeda hain aur is ke liye wo logon ki bheed bhaad aur riwayati mel jol se door hue hain to unhein bura bhala kaha jaata hai aur yeh taassur diya jaata hai ke woh sahih nahi, sahih woh hai jo waqt ko ghair zaroori ya tarjeehat ke khilaf kaamon mein sarf kar rahe hain
Agar is tarah ghoom phir kar, rishtedariyan nibha kar, khane peenay ko hi aham samajh kar aur bina qurbaniyan pesh kiye bade kaam ho jaaya karte to phir baat hi kya thi, har banda kuchh bada kar dikhata, Aaj ka sach ye hai ke jo waqai apne maqsad ko le kar dunya ki ulti daud se alag chal rahe hain woh is bhari duniya mein bhi akele jeene ka tajriba hasil kar rahe hain. Allah Ta'ala aise logon ko himmat de aur hamare akabireen ki qabron par rahmatein barkatein khoob khoob nazil farmaye ke jinhone apna sab kuchh qurban kar ke hamein raah dikhai, Allah ta'ala unhein is ka badla apni shaan ke laaiq ata farmaye
Abde Mustafa
Muhammad Sabir Qadiri
26 December, 2023
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here