Aise Hote Hain Mureed
Hazrate Sayyiduna Meer Abdul Wahid Bilgrami Rahimahullahu Ta'ala Likhte Hain Ke Main Sikandarabad Ki Masjid Mein Tha
Ek Qalandar Wahan Namaz Padh Raha Tha, Uske Paas Do Baghair Sile Huye Tehband The Jin Mein Se Ek Ko Niche Baandh Kar Sitr Poshi Kar Rakhi Thi Aur Ek Ko Chaar Teh Mod Kar Zameen Par Bichha Kar Us Par Namaz Padh Raha Tha
Sar Par Topi Aur Dastaar Thi Magar Baaqi Badan Barhana (Khula Hua) Tha
Ek Talibe Ilm Usse Sakhti Se Ulajh Pada Aur Kehne Laga Ke Ye Gumrah, Sakht Dil Aur Jahil Apne Jism Ko Khula Chhod Kar Apne Pairo Ke Niche Kapde Ko Bichhaye Namaz Padh Raha Hai, Ye Kitni Be Adabi Ki Baat Hai
Ye Sun Kar Qalandar Ne Wo Tehband Uthayi Aur Apne Gale Mein Daal Kar Jism Ko Chhupaya Aur Phir Namaz Mein Masroof Ho Gaya Aur Us Par Koi Tabdeeli Zaahir Nahin Huyi
Us Talibe llm Ko Mehsoos Hua Ke Maine Ghalati Ki Aur Sakht Alfaaz Istemaal Kiye Hain, Wo Namaz Ke Baad Qalandar Se Maafi Maangne Aaya Aur Kehne Laga Ke Maine Aapse Ghair Munasib Baatein Ki Hain, Mujhe Maaf Farma Dijiye
Us Qalandar Ne Jawab Diya Ke Aye Ghareeb Naujawan! Baato Se Wo Dil Bigaade Jo Kisi Peer Ka Parwarish Kiya Hua Na Ho, Tumne Mujhe Nasihat Ki Aur Sharayi Mas'ala Bataya, Allah Ta'ala Tumhein Bahut Jaza De
(سبع سنابل، ص68)
Aaj Humein Sakhti Ke Saath To Door, Koi Hazrat Hazrat Keh Kar Tazeem Ke Saath Bhi Mas'ala Bata De To Humein Aisa Lagta Hai Ke Humari Tauheen Kar Di Gayi Hai Aur Hum Fauran Akad Mein Aa Jaate Hain Aur Saamne Waale Ko Jahil Saabit Karne Aur Khud Ko Ahle Ilm Saabit Karne Ki Har Mumkin Koshish Mein Lag Jaate Hain
Allah Ta'ala Humein Apne Aibo Par Nazar Karne Aur Haque Ko Tasleem Karne Ki Taufiq Ata Farmaye
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here