Musalmano Mein Buzdili Kyun?

Sawal Hai Ki Musalmano Mein Buzdili Kyun Hai?

Is Ka Jawab Agar Mukhtasar Alfaaz Mein Diya Jaaye To Yahi Hai Ki "Musalmano Ke Andar Shauq E Shahadat Aur Raahe Khuda Mein Qurbaan Hone Ka Jazba Baaqi Nahin Raha Aur Maut Ka Khauf Is Qadr Ho Chuka Hai Ki Zindagi Bachane Aur Zyada Jeene Ki Tamanna Liye Kisi Bhi Had Tak Jaane Ko Taiyar Hain" Aur Agar Is Ki Tafseel Mein Jaayein To Bahut Kuch Kaha Ja Sakta Hai.

Abu Daood Mein Ek Riwaayat Hai :

حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ إِبْرَاهِيمَ الدِّمَشْقِيُّ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا بِشْرُ بْنُ بَكْرٍ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا ابْنُ جَابِرٍ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنِي أَبُو عَبْدِ السَّلَامِ، ‏‏‏‏‏‏عَنْثَوْبَانَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏   يُوشِكُ الْأُمَمُ أَنْ تَدَاعَى عَلَيْكُمْ كَمَا تَدَاعَى الْأَكَلَةُ إِلَى قَصْعَتِهَا، ‏‏‏‏‏‏فَقَالَ قَائِلٌ:‏‏‏‏ وَمِنْ قِلَّةٍ نَحْنُ يَوْمَئِذٍ ؟ قَالَ:‏‏‏‏ بَلْ أَنْتُمْ يَوْمَئِذٍ كَثِيرٌ وَلَكِنَّكُمْ غُثَاءٌ كَغُثَاءِ السَّيْلِ وَلَيَنْزَعَنَّ اللَّهُ مِنْ صُدُورِ عَدُوِّكُمُ الْمَهَابَةَ مِنْكُمْ وَلَيَقْذِفَنَّ اللَّهُ فِي قُلُوبِكُمُ الْوَهْنَ، ‏‏‏‏‏‏فَقَالَ قَائِلٌ:‏‏‏‏ يَا رَسُولَ اللَّهِ وَمَا الْوَهْنُ ؟ قَالَ:‏‏‏‏ حُبُّ الدُّنْيَا وَكَرَاهِيَةُ الْمَوْتِ (رقم:4297)

Rasulullaah ﷺ Ne Farmaya : Qareeb Hai Ki Deegar Qaumein Tum Par Aise Hi Toot Padein Jaise Khane Waale Pyaalon Par Toot Padte Hain!

Huzoor E Akram ﷺ Se Suwaal Kiya Gaya : Kya Hum Us Waqt Tadaad Mein Kam Honge?

Aap ﷺ Ne Farmaaya : Nahin, Balki Taadad Bahut Hogi Lekin Tum Sailaab Ke Jhaag Ke Maanind Hoge, Allah Ta'Ala Tumhare Dushman Ke Seenon Se Tumhara Khauf Nikal Dega, Aur Tumhare Dilon Mein "Wahan" Daal Dega.

To Arz Ki Gayi : Ya Rasoolullah ﷺ! Wahan Kya Cheez Hai?

Aap ﷺ Ne Farmaaya : Yeh Duniya Ki Muhabbat Aur Maut Ka Dar Hai."

Aaj Humari Tadaad Taqreeban Duniya Ki Ek Chauthai Hai Aur Taqreeban 50 Mamalik Mein Humari Aksariyat Hai Aur Mulke Hind Ko Le Lein To Taqreeban 25 Crore Musalman Is Mulk Mein Rehte Hain Lekin Fir Bhi Jo Haalat Hain Wo Kisi Se Posheeda Nahin Hai. Taarikh Ke Awraaq Par Un Musalmanon Ka Bhi Zikr Hai Jo Agarche Taadad Mein Hum Se Bahut Kam The Aur Wasaail Ki Kami Thi Lekin Bade-Bade Zaalimon Ke Saamne Muqaabile Ke Liye Khade Ho Jaate The Aur Allaah Ta'ala Ki Taraf Se Fatahyaab Hote The Lekin Aaj Humari Tadaad Sirf Sunne Dekhne Ki Hai.

Buzdili Is Qadr Humare Andar Saraayat Kar Chuki Hai Ki Shiyare Islaam Par Khule Aam Hamla Hota Dekh Kar Bhi Hum Bas Afsos Kar Ke Rah Jaate Hain. Kisi Ne Kaha Tha Ki "Jab Kaabe Mein Shaitaan Ghus Jaayega Tab Jaagoge?" Aaj Baabri Masjid Ka Muaamla Humare Saamne Hai, Masjide Aqsa Par Dushmano Ne Nazrein Gaad Rakhi Hain, Kashmir Aur Filisteen Ke Musalmano Ki Tasweerein Bhi Nazaro Se Guzarti Hain Aur Duniya Bhar Mein Aisi Kayi Zameene Hain Jahan Musalmanon Ka Khoon Bahaaya Jaata Hai, Kayi Ilaaqe Aise Hain Jin Ke Fizao Mein Mazloomon Ki Fariyad Goonjati Hai Lekin Humari Croro Ki Tadaad Sirf Tamashayi Hai. Musalmano Ki Aisi Koi Riyaasat Nahin Jo Mazloomon Ka Difa Kare, Koi Aisi Saltanat Nahin Jis Ke Saaye Tale Humare Bacchon Ka Mustaqbil Phal Phool Sakein Aur Koi Aisi Taaqat Nazar Nahin Aati Jo Musalmano Ko Un Ka Watan Waapas Kar Sake.

Mulke Hindustan Mein Musalman Jihaad Ka Naam Lene Se Pahle Sochte Hain. Yahan Hone Waale Ijlaas Waghaira Mein Taqreeban Tamam Mauzuaat Par Taqareer Hoti Hain Lekin Jihaad Ki Zarurat Wa Fazilat Par "Jihad Conference" Shayad Hi Kahin Dekhne Ko Mil Jaaye. Is Ke Alawa Saikdo Ki Taadad Mein Maahnaame, Rasail Aur Kitabein Chhapti Hain Lekin Sab Zikre Jihad Se Taqreeban Khali Hain. Jumuah Mein Hone Waali Taqareer, Mahaafile Meelad Mein Hone Waala Bayaan Aur Mukhtalif Maqaamat Par Hone Waale Khitaab Mein Zikre Mujahideen Ke Alawa Har Qism Ka Zikr Milta Hai Aur Yahi Wajah Hai Ki Nayi Nasl Ko Bhi Wiraasat Mein Buzdili Mil Rahi Hai.

Buzdili Paida Hone Ki Ek Badi Wajah Ye Bhi Hai Ki Jihaad Par Khul Kar Baat Nahin Hoti Aur Aisa Tassur Diya Jaata Hai Ki Ab Jihad Ki Zarurat Nahin Rahi. Mujahideene Islam Ki Seerat Bayan Nahin Ki Jaati Jis Ki Wajah Se Nayi Nasl Bhi Isi Beemari Ka Shikaar Ho Jati Hain. Naujawano Se Pooch Liya Jaaye Ki Muhammad Bin Qaasim Kaun The To Chehre Par Ilm Na Hone Ka Waazeh Suboot Dikhne Lagta Hai, Agar Sawal Karein Ki Sultan Salahuddin Ayyubi Kaun The Aur Un Ke Karnaame Batayein To Aisa Lagta Hai Ki Kisi Naamumkin Baat Ka Mutaliba Kar Liya Ho Aur Fir Gaazi Ertugrul, Gaazi Usman, Sultan Alp Arsalan, Sultan Muhammad Faateh, Sultan Abdul Hameed, Shahaabuddin Muhammad Ghauri, Aurangzeb Aalamghir Aur Jumla Mujahideene Islam Ke Baare Mein Poocha Jaaye To Aisa Lagta Hai Ki Kisi Doosri Duniya Ke Logon Ki Baat Ho Rahi Hai. Jab Humein Apni Tareekh, Apne Mujahideen Aur Un Ke Karnaame, Un Ki Shuja'at Aur Afkar Ka Ilm Hi Nahin To Zaahir Hai Ki Hum Waise Hi Banenge Jaisa Banane Ki Koshish Dushmanon Ki Taraf Se Jaari Hai.

Dushmanon Ne Kya Accha Mansooba Banaya Hai Ki Musalmanon Ko Ghulam Banane Se Pehle Zehni Ghulami Ke Kuyein Mein Dhakelna Chaahiye Aur Wo Jaante Hain Ki Baghair Is Ke Musalmano Ko Un Ke Ghutno Par Laana Mumkin Nahin. Aaj Musalaman Khud Is Kuyein Ki Taraf Jaa Rahe Hain Aur Wo Is Tarah Ki Humare Kapde, Humari Zuban, Humara Khana, Khane Ka Tareeqa Aur Humare Afkaar Sab Un Ke Ishaaron Par Chalne Waale Ghulamon Ki Tarah Hain. Wo Chaahein To Fashion Ke Naam Par Humein Jo Chahein Pehna Sakte Hain, Insaniyat Ke Naam Par Zaalim Aur Zulm Ka Saath Dene Waala Bana Sakte Hain Aur Agar Chahein To Humein Apne Hi Deen Wa Shariat Ke Muqabile Mein Khada Kar Sakte Hain.

Duniya Mein Jo Bhi Ho Raha Hai Us Ke Peeche Sadiyon Ki Saazishein Hain Lekin Musalmano Ke Zehan Ko Is Qadar Ghulam Bana Liya Gaya Hai Ki Wo Ise Dekhne Se Qaasir Hain. Hum Jis Buzdili Ki Baat Kar Rahe Hain Ise Musalman Buzdili Nahin Balki Hikmat, Maslihat, Door Andeshi, Insaniyat Aur Aman Waghaira Ka Naam Dete Hain Aur Yahi Zehni Ghulami Hai Jise Hum Ne Bayan Kiya Hai. Kitni Ajeeb Baat Hai Ki Buzdili Bhi Hai Lekin Sha'oor Nahin Raha Aur Ise Accha Bhi Samjha Jaata Hai.

Muslim Mamaalik Ko Dekh Kar Muslim Mamaalik Kahte Huye Sharm Aati Hai Kyun Ki Buzdili Aur Saath Mein Zehni Ghulami Ke Aasar Saaf Nazar Aate Hain. Islami Hukoomat Ke Tahat Filmein Banayi Jaa Rahi Hain Lekin Koi Paabandi Nahin Hai, Ye Bhi Ek Buzdili Hai Jise Huqooq Aur Aazadi Ka Naam Diya Jaata Hai. Cinema Gharon Ki Kasrat, Be-Pardagi Ki Ijazat Aur Juaa, Sharab, Zina Waghairah Ka Aam Taur Par Nazar Aana, Ye Sab Bhi Buzdili Ki Ek Qism Hai. Islami Hukmraano Ke Andar Taaqat Nahin Ki In Cheezon Par Paabandi Aayid Kar Sakein. Naam To Islami Riyaasat Hai Lekin Musalmanon Par Zulm Hota Dekh Ye Riyaasatein Bhi Buzdili Dikhana Shuru Kar Deti Hain.

Agar Hum Ye Kahein Ki Chhoton Se Le Kar Badon Tak Sab Buzdili Ki Lapet Mein Hain To Koi Ghalat Baat Nahin Kyun Ki Jin Musalmanon Ke Paas Hathiyaar Iqtidaar Aur Taaqat Nahin Wo To Zaahir Hai Lekin Jin Ke Paas Ye Sab Hai Wo Bhi Zehni Taur Par Ghulam Hone Ki Wajah Se Buzdil Hain. Sab Ko Maut Ka Dar Hai Halanki Mar Jaane Aur Maar Dene Donon Mein Musalmanon Ka Faayida Hai. Ye Baat Samajh Mein Aa Jaaye To Buzdili Door Ho Sakti Hai.

Huzoor E Akram ﷺ Ki Talwaar Par Likha Hua Tha :

فِی الْجُبنِ عَارٌ ، فِی الْاِقْبَال مَکْرُمَۃٌ

وَالْمَرْءُ بِالْجُبنِ لاَ یَنْجُوْ مِنَ الْقَدرٖ

Buzdili Baayis E Sharm Hai, Izzat Aage Badhne Aur Dushman Par Hamla Karne Mein Hai.

Banda Buzdili Kar Ke Taqdeer Se Kabhi Nahin Bach Sakta.

(Maut Darpok Ko Bhi Aati Hai, Aur Bahaadur Bhi Chala Jaata Hai, Kya Hi Accha Ho Ki Bahaduron Ki Tarah Jaan Qurbaan Ki Jaaye!

(مدارج النبوة ، ج2، ص116)

Allaama Luqman Shahid Hafizahullah Likhate Hain Ki Abhi Apne Bete Ko Madarijun Nabuwwah Se Ye Sher Padhaya Hai :

Ye Rasoolullah ﷺ Ki Talwar Mubarak Par Likha Hua Tha.

Use Talqeen Ki Hai Ki Beta!Kabhi Darpok Nahin Banna.

Izzat, Bahaduri Mein Hai, Buzdili Mein Nahin,

Musalman Jurrat Mand Hota Hai, Buzdil Nahin!!

Allaah Paak Humein Aur Humari Naslon ko Jurraat Ata Farmaaye. Hum Allaah Ke Siwa Kisi Se Na Darein.

(Aameen)

Abde Mustafa


1 Comments

Leave Your Precious Comment Here

  1. albaqrah,aaya191,iske baare me kya kahna chahenge ,kyonke bahut tatpoonjye aa gaye hain,unka kiya kiya jaaye,is surah me fitna ko khatrrnaaak bataya gaya hai,

    ReplyDelete

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post