Naqshe Nalain Pe Naam


Nabiye Kareem Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Ke Nalain Ki Misl Ek Naqsha Banaya Jaata Hai Jis Par Naam Bhi Likha Jaata Hai Aur Arabi Ash'aar Hatta Ke Quraani Aayaat Bhi Likhi Jaati Hain

Is Par Kuchh Logon Ka Aitraaz Hota Hai Ke Ye Durust Nahin Balki Be Adabi Hai Halanki Aisa Nahin Hai 


Faiz -e- Millat, Hazrate Allama Faiz Ahmad Owaisi Rahimahullahu Ta'ala Likhte Hain Ke :


(Naqshe Nalain Par Aayat Likhna) Jaayez Hai, Imam Ahmad Raza Fazile Barelvi Rahimahullahu Ta'ala Likhte Hain Ke Bismillah Shareef Is Par Likhne Mein Kuchh Haraj Nahin Agar Ye Khayaal Kijiye Ke Naale Muqaddas Qat'an Taaje Farq Ahle Iman Hai Magar Allah Ka Naam Wa Kalaam Har Shay Se Ajal Wa Aazam Wa Arfa Wa Aala Hai, Yun Hi Naqshe Naale Aqdas Mein Bhi Ehtiraz Chahiye To Ye Qayaas Ma'al Faariq Hai, Agar Huzoor Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Se Arz Ki Jaati Ke Naame Ilaahu Ya Bismillah Shareef Huzoor Ki Naal Par Likhi Jaaye To Pasand Na Farmate Magar Is Qadr Zaroori Hai Ke Naal Bahaalate Istemal Wa Timsaal Mahfooz Anil Ibtezaal Mein Tafaawut Badeehi Hai Aur Aamal Ka Niyyat Par Hai, 

Ameerul Momineen, Faruqe -e- Aazam Ne Janwaraane Sadqa Ki Raano Par Allah Ka Naam Daagh Farmaya Tha Halanki Unki Raanein Bahut Mehal -e- Be Ehtiyati Hain Balki Sunan Daarmi Mein Hai :


Sayeed Bin Jabeer Farmate Hain Ke Main Ibne Abbas Radiallaho Ta'ala Anhuma Ke Baas Baithta Aur (Tehseele Ilm Ke Liye Fikri Ilmi Baatein) Register Par Likhta, Jab Wo Khatm Ho Jaata To Phir Main Apne Dono Jooti Ke Talwo Par Likhta 

(فتاوی اویسیہ، ج1، ص104، 105)


Abde Mustafa Official

1 Comments

Leave Your Precious Comment Here

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post