Shadi Door Hai, Jaana Zaroor Hai


Allama Khadim Husain Razvi Apne Ek Bayaan Mein Kehte Hain Ke Maine Shadiyo Mein Jaana Band Kar Diya Hai, Mujhe Samajh Hi Nahin Aata Ke Ye Musalmano Ki Shadi Hai? (Yaani Kya Musalman Bhi Aise Shadi Karte Hain?)


Allah Ta'ala Ka Shukr Hai, Mera Bhi Yahi Tariqa Hai Ke Shadiyo Mein Jaana Kai Saalo Se Band Kar Diya Hai

Pichhle 2-3 Saalo Mein To Bas 2 Ya 3 Shadiyo Mein Jaana Hua Aur Wo Bhi Isliye Ke Unhone Sharai Taqazo Ke Mutabiq Shadi Karne Ki Koshish Ki

Kai Qareebi Rishtedaro Aur Jaanne Waalo Ke Laakh Bulane Par Bhi Nahin Jaata Aur Aainda Bhi Mera Yahi Tariqa Rahega


Badi Maazrat Ke Saath Arz Hai Ke Ek Badi Tadaad Aisi Hai Jo Shadiyo Mein Jaana Apne Upar Farz Samajhti Hai, Aisa Mahsoos Hota Hai Ke Inki Maujoodgi Ke Bina Shadi Hi Nahin Hogi


Deeni Maqasid Ko Le Kar Chalne Waale Bhi Shauqiya Apna Achha Khaasa Waqt Shadiyo Mein Guzaarte Hain, Ab Allah Hi Behtar Jaane Ke Wo Apne Maqasid Ko Le Kar Kitne Sanjida Hain


Apne Waqt Ki Qeemat Ko Samjhein Aur Shadi Door Hai Jaana Zaroor Hai Ka Naara Lagane Waalo Mein Khud Ko Shamil Na Karein


Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post