WhatsApp Daarul Ifta Ka Fitna


Jise Dekhiye WhatsApp Par Sawal Jawab Ka Group Bana Rakha Hai Aur Logon Ko Dawat Di Ja Rahi Hai Ke Aaiye Aur Apne Shara'i Masail Ka Hal Jaaniye. Agar Yeh Kaam Muftiyane Kiraam Karte Hain To Hamein Koi Aitraz Nahin Balki Yeh To Acha Kaam Hai Lekin Kasrat Se Aise Log Is Maidan Mein Kood Pade Hain Jo Hargiz Is Ki Ahliyat Nahin Rakhte. Main Ne Khud Kai Logon Ko Dekha Ke Woh Shara'i Masail Bayan Karne Mein Badi Badi Ghalatiyan Kar Rahe Hain Jin Par Sakht Girift Ho Sakti Hai Lekin Woh Apne Gumaan Mein Gum Hain Ke Unhen Fatwa Dena Ata Hai. Yeh Aik Badi Wajah Hai Ke Hamare Darmiyan Ikhtilafat Badh Rahe Hain. Log Manmani Ko Shariat Ka Naam De Kar Fitna Bazi Kar Rahe Hain. Aap Khud Soch Kar Dekhein Ke Kya Thodi Bahut Maloomat Hasil Kar Ke Logon Ka Ilaj Karne Ke Liye Apna Hospital Khol Kar Bethna Durust Hoga? Phir Yeh Thoda Bahut Ilm Hasil Kar Ke Fatwa Likhna Kahan Se Durust Ho Sakta Hai? Unko Ijazat Kis Ne Di? Kya Sirf Chand Kitaben Padh Kar Balki Kai To Aise Hain Ke Sahi Se Aik Kitab Bhi Nahin Padhi Hatta Ke Bahar-e-Shariat Hi Poori Nahin Padhi Woh Bhi Logon Ke Poochhe Gaye Sawalat Ka Dhadalle Se Jawab Par Jawab Likh Rahe Hain. Ise Fitna Na Kahen To Aur Kya Kahen?


Mujhe Hansi Aati Hai Aur Afsos Bhi Hota Hai Ke Jab Logon Ko Dekhta Hoon Ke Woh Logon Ki Taraf Se Mosool Hone Wale Sawalat Ke Jawabat Par Muftiyan-e-kiraam Ki Tarah Al-jawab Likh Kar Phir Aakhir Mein Wallahu Aalam Wa Rasooluhu Aalam Likh Rahe Hote Hain. Aise Logon Se Agar Poochh Liya Jaye Ke Aap Ne Kitni Kutube Fatawa Ka Mutala Kiya Hai To Jawaab Mein Kehne Ke Liye "Ek" Bhi Un Ke Paas Nahi Hoga, Phir Asal Kutub Ki Taraf Muraja'at Aur Ifta Ki Dusri Shara'it Bahut Door Ki Baatein Hain.


Kash Ke In Logon Ne Aala Hazrat Ko Padha Hota To Shariat Par Aisi Jurrat Na Karte. Apne Aap Ko Khud Se Yun Mustaqil Qarar De Kar Fitna Na Phaila Rahte Hote.


Allah Ta'ala Se Hum Aafiyat Talab Karte Hue In Fitnon Se Us Ki Panah Chahte Hain.


Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post