Bhagwa Love Trap 

Aakhir Muslim Ladkiya Kafiro Ke Paas Kyun Ja Rahi Hain? Kahin Aisa To Nahin Ke Hum Khud Bhej Rahe Hain? Is Sawal Ka Jawab Bada Aasan Hai, Bilkul Saaf Nazar Aa Raha Hai, Bas Qabool Karne Ki Zaroorat Hai

Kya Aisa Nahin Hai Ke Taleem Ke Naam Par Hum Khud Ladkiyo Ko Halakat Ke Liye Pesh Kar Rahe Hain? Colleges Ke Naam Par Ladkiya Khule Aam Baahar Nikal Rahi Hain Aur Ajnabi Mardo Ke Saath Din Raat Unka Uthna Baithna Ho Raha Hai Phir Ye To Hona Hi Tha! 

Gaadiya, Mobiles Waghaira De Kar Maa Baap Poori Ijazat De Rahe Hain Ke Raat Din Jahan Jaana Chaho Ja Sakti To Phir Kaise Ummeed Ki Jaaye Ke Ladkiya Ghairo Ke Paas Nahin Jayengi? 

Agar Is Qadr Intezam Karne Ke Baad Aap Ummeed Karte Hain Ke Ladkiya Sahih Salamat Rahein To Ye Bilkul Aisa Hai Ke Jaise Bulandi Se Kisi Patli Kaanch Ko Zameen Par Phenk Diya Jaaye Aur Uske Na Tootne Ki Ummeed Ki Jaaye

Is Tarah Ki Riwayatein Milti Hain Ke Ladkiyo Ko Likhna Na Sikhaya Jaaye, Inhein Baala Khano Mein Na Thehraya Jaaye, Inko Surah -e- Yusuf Ki Tafseer Na Padhai Jaaye, Inka Ghar Se Nikalna Fitna Hai Waghaira, In Sab Se Kya Samajh Mein Aata Hai? Yahi Ke Ladkiya Naazuk Hain Aur Inka Muamla Bhi Naazuk Hai Lihaza Ehtiyat Ki Sakht Zaroorat Hai Lekin Ab Ladkiyo Se Le Kar Unke Maa Baap Sab Aazad Khayaal Ho Chuke Hain Aur Aql Tab Thikaane Aati Hai Jab Bahut Der Ho Chuki Hoti Hai 

Bilkul Seedha Seedha Kaha Jaaye To Bhagwa Love Trap Ko Rokne Ke Liye Ladkiyo Ko Rokna Hoga, In Par Wo Pabandiya Lagani Hongi Jo Inko Bhediyo Se Bacha Sake, Ye Pabandiya Koi Qaid Nahin Hai, Ladkiyo Ko Bhi Samajhna Hoga Ke Izzat Waali Zindagi Kaunsi Hai Ke Jis Mein Dunya Wa Aakhirat Dono Hain Aur Zillat Kahan Hai

Narmi Se To Narmi Se Warna Sakhti Se Hi Rok Lagana Zaroori Hai, Jiski Beti Hai Wo Use College Naam Ke "Kothe" Se Door Rakhe Aur Taleem Ke Liye Uski Zindagi, Uska Imaan Aur Sab Kuchh Daaon Par Na Lagaye Balki Ghar Mein Bunyadi Taleem Par Hi Bas Kare

Bahut Kuchh Hai Samajhne Ke Liye, Kehne Ke Liye Aur Sabse Aham Karne Ke Liye Lihaza Karein Warna Karne Waale Apna Kaam Kar Rahe Hain


Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post