Welfare Ka Bhoot


Humein Majboor Ho Kar Ye Likhna Pad Raha Hai, Hum Ek Arse Se Ise Nazar Andaaz Kar Rahe The Lekin Ab Paani Ghar Se Upar Ho Gaya Hai

Ahle Sunnat Ke Kai Afraad Aur Tanzeemo Par Welfare Ka Bhoot Sawar Ho Gaya Hai Aur Aisa Sawaar Hua Hai Ke Apne Paraye To Chhodiye Dost Aur Dushman Ki Pehchan Ko Bhi Bhool Kar Kaam Kiya Ja Raha Hai

Hum Phir Se Apni Baat Duhra Rahe Hain Ke "Kai Afraad Aur Tanzeemein" Is Mein Shamil Hain, Hum Kisi Ek Par Kalaam Nahin Kar Rahe Hain 


Ilmi Aur Isha'ati Kaam Karne Ke Bajaye Is Tarah Welfare Mein Utar Aana Bada Alamiyya Hai

Agar Koi Apni Jayedad Se Ye Kaam Kar Raha Hota To Baat Aur Hoti Lekin Musalmano Se Chanda Le Kar Aisa Kiya Ja Raha Hai, Islam Dushmano Ko Faida Pahunchaya Ja Raha Hai Jis Ke Wo Mustahiq Nahin Hain 

Jinke Paas Kambal Hai Unhi Ko Kambal Diya Ja Raha Hai Aur Bada Naam Ho Raha Hai Ke Dekho Unhone Itne Aur Itne Kambal Taqseem Kiye, Phir Khane Ki Cheezein Bila Tameez Har Ek Ko Di Ja Rahi Hain Goya Muft Ka Maal Hai Aur Lutaya Ja Raha Hai 

Taleemi Nizaam Aur Phir Iske Ilawa Kai Shoba Jaat Hain Jo Tarjeehaat Mein Aate Hain Yaani Sabse Pehle Humein Saari Taaqat Isko Sahih Karne Mein Lagani Chahiye Phir Dusre Upar Ke Kaamo Ko Dekhna Chahiye Lekin Laparwahi Bahut Zyada Ho Rahi Hai

 

Achha Khaasa Ilmi Aur Tameeri Kaam Karne Waalo Ko Dekha Ja Raha Hai Ke Wo Apna Zor Welfare Mein Laga Rahe Hain Aur Kisi Bhi Ilaqe Mein Ja Kar Kisi Ko Bhi Kambao Aur Khana Taqseem Karna Shuru Kar Dete Hain Aur Lene Waalo Ki Kami Hi Kahan Hai 

Humein Maloom Hai Ke Humari Ye Baatein Kai Logon Ko Buri Lagne Waali Hai Lekin Ye Ek Haqeeqat Hai Jis Ko Bayaan Karna Humare Liye Zaroori Ho Chuka Hai

Jo Kuffar Humari Ibadat Gaaho Aur Humein Mitana Chahte Hain Unko Musalmano Se Chanda Le Kar Faida Pahunchane Aur Jo Mustahiq Nahin Hain Unko Mukhtalif Qism Ke Samaan Faraham Karne Se Hum Ittefaq Nahin Kar Sakte, Jo Log Aisa Kar Rahe Hain Wo Khoob Soch Samajh Lein Aur Jo Pehle Karne Waale Kaam Hain Un Par Apna Sarmaya Kharch Karein 


Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post