Hakeemul ummat ki tarah likhna hoga

Ab likhne waalo ko chahiye ke Hakeemul Ummat, Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi Rahimahullahu Ta'ala ki tarah likhein, Aisa likhein ke aaj ki awaam aasani se samajh sake aur khul kar likhein
Likhte waqt bahut zyada mushkil alfaaz aur lehje ka istemal na karein, Aap ye ghaur karein ke aapko padhne waale kaun hain aur unki aql aur samajh kaisi hai aur phir usi ke mutabiq kalaam karein

Kai likhne waale aise hain ke khud likhte hain aur khud hi samajhte hain phir ek giroh likhne waalo ka aisa hai jo chahte hain ke sirf ahle ilm hi unki tehreer se faida utha sakein, itna zyada mushkil lehja aur aise aise alfaaz istemal karte hain ke wo awaam ki samajh se bahaar hota hai, Abhi humein aasan lehje mein likhne waalo ki zaroorat hai ke jinko padh kar har koi samajh sake

Likhte waqt aisa tasawwur karein ke koi bahut kam padha likha shakhs aapke samne hai aur aap usse kalaam kar rahe hain phir khud hi aapka andaaze tehreer badal jayega, haan is baat ka khayaal rakhein ke riaayat ki hadd se baahar nikal kar tehreer ka miyaar hi na gira dein balki ise bhi saath le kar chalein

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post