Main us jalse mein nahin jaaunga

Khalifa -e- Huzoor Muftiye Aazame Hind, Allama Mufti Shariful Haq Amjadi rahimahullahu ta'ala ka jab kisi jalse mein jaana hota to un ka naam sun kar muqarrireen aane se mana kar dete aur kehte ke "agar wo aa raha hai to hum nahin aayenge"
Iski wajah ye thi ke aap rahimahullahu ta'ala jab kisi ko taqreer mein ya ash'aar padhne mein koi ghalati karta paate to fauran tok dete aur stage par hi usse tauba wa ruju karwate aur jahan zaroori hota wahan awaam aur committee waalo se bhi tauba karwate

Aaj bhi humein aise haq bolne waale Muhaqqiq Ulama ki zaroorat hai, Aaj humare jalso mein muqarrireen kasrat se jhoote waqiyaat bayaan kar rahe hain lekin unhein rokne waala koi nahin hai, Naato manqabat padhne waale aise ash'aar padh rahe hain jo Ahle Sunnat ke aqaid ke khilaf tak hain lekin stage par maujood har shakhs khamosh hai balki padhne waale ki ulta waah waahi ki ja rahi hai! Isse awaame Ahle Sunnat par bahut bura asar pad raha hai

Ulama -e- Ahle Sunnat ko chahiye ke is par khaas tawajjo farmayein aur stage par hi inse tauba karwai jaaye aur jo baar baar aisa karte hain unhein jalso mein bulana band kiya jaaye, Awaame Ahle Sunnat ko bhi apna kirdaar yahan ada karna chahiye aur wo is tarah ke in muqarrireen ko chhod kar Ulama -e- Ahle Sunnat ka saath dein

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post