Be Maqsad Naujawan
Kehte hain ke kisi qaum ka mustaqbil (future) us qaum ke naujawan hote hain lekin aaj humari qaum ke naujawano ka haal dekhein to mustaqbil khatre mein hi nazar aayega, Ek badi tadaad ka jaaiza liya jaaye to beshtar be maqsad nazar aate hain, agar maqsad hai bhi to uska talluq sirf dunyawi aisho aaram se hai, kisi ka maqsad achha ghar banana hai, kisi ka gaadi khareedna hai, kisi ka laakho ke mobile phones lene ka, kisi ka dhoom dhaam se shadi karne ka, koi dunya ghoomna chahta hai, koi pehnawe to koi khane peene pe hi apni poori tawajjo lagaye rakhta hai!
Ab aise mein aap hi batayein ke jab qaum ke naujawano ka ye haal hoga aur qaum ke liye kaam karne waale bas ungliyo pe gine jayenge to qaum ka kya hoga? Social media pe humare naujawano ne bheed jama rakhi hai, aye kaash ke ye waqt kitabo par lagate to halaat badal jayenge
Naujawano ko sab se pehle ilmi lihaaz se khud ko mazboot karna hoga aur ye bhi thoda moda nahin balki khoob mazboot karna hoga, yahi karne waala pehla kaam hai, iske baad aapko kitabo ko laazim pakadna hoga, ye aapke afkaar mein tabdeeli layegi aur phir aamaal pe farq padna yaqeeni hai
Naujawano ko aage aana hi hoga, apne deen ke liye qurbaniya deni hongi, kaam karna hoga, kaam karne waalo ka khoob saath dena hoga, agar musalsal mehnat jaari rahi to bahut jald ye rang layegi, aaj hi apna maqsad tay karein, use paane ke liye saansein lein, agar aisa na kar ke aap bas yun hi waqt ko guzaar rahe hain to ye waqt ko zaaya karna hai
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here