Filisteen ke liye hum kya karein?

Ye ek sach hai jise kadwa sach bhi kaha ja sakta hai ke hum filisteeni musalmanon ke liye dua ke siwa kuchh nahin kar sakte, Kehte hain ke "Qabr ka haal murda hi jaanta hai" theek isi tarah filisteeni musalmanon par jo zulm ke pahaad ek lambe arse se tode ja rahe hain unse pahunchne waali takleefon ka hum sahih se andaza bhi nahi laga sakte, Yahan humein is baat par ghaur karne ki zaroorat hai ke agarche hum filisteeni musalmanon ke saath mil kar lad nahi sakte lekin abhi hum jahan hain wahan reh kar bhi ek jang lad sakte hain; Ye is tarah ke hum sab ka asal maqsad "Deen" hai aur isi deen ke liye humara sab kuchh hai to phir apne andar ke jazbe ko bedaar karein aur deen ki khidmat ke liye aage aayein

Saaf lafzon mein ye ke deen ke liye kaam karna shuru karein, Jitna aap kar sakte hain utna karein, Naujawaan nasal aage aaye, Aish aur aaraam ko hi maqsad na banayein, Dunya ki ranginiyon se baahar aayein, Kuchh bada kar dikhayen, Qaum ko faida pahunchayein, Is ummat ke mustaqbil ke liye mehnat karein, Ye aap kar sakte hain, Filisteeni.. musalmanon par ho rahe zulm ko dekh kar kis qadar khoon khaulta hai? bas ise thanda na hone dein, is aag ko apne andar barqarar rakhein aur deen ke kaamo mein hissa lein, Har shakhs apna behtar kar ke dikhaye. Sirf maal kamane, khane, pehenne aur mehal banane mein apni umr na guzarein

Abhi chand dino tak aap agar filisteeni musalmanon ke liye apna dard dikhate hain aur aansu bahate hain aur phir apni usi zindagi mein masroof ho jaate hain jis mein deen ke liye waqt nahi nikalta to phir yeh waqti jazbaat hain, Apne aap ko bedaar karein aur phir bedaar rakhen, Misali kaam kar jayen, Maidan bahut se khaali pade hain, bas jung ladne waalo ki zaroorat hai, Zaroorat hai to jiddo jehad karne waalo ki, Samandar ke upar jhaag to bahut hai par hamari pukar hai ke samandar ki gehrai ban jaayein

Abde Mustafa

1 Comments

Leave Your Precious Comment Here

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post