Zuhr ki nayi adhan

Main pehle mazduri karta tha (imaratoun ki tameer waghera mein), dopehar ek bajay khanay ke liye chhutti milti thi jo do bajay tak rehti thi. Hum adhan sun kar chhutti karte thay kyun ke tamam masajid mein ek bajay zuhr ki adhan hoti thi. Hamare paas mobile phone ya ghari wagera nahi hoti thi. Hum aisi aisi jagahon par kaam karte thay ke aas paas waqt maloom karne ka koi zariya bhi nahi hota tha. Hamare saath kayi tarah ke log kaam karte thay jin mein ghair Muslim bhi hotay thay. Woh bhi adhan sun kar hi chhutti karte thay. Phir hua yeh ke hamare sheher mein khud ko Ahl-e-Hadith kehne walay aaye aur dheere dheere apni masajidain bana lein aur barah bajay adhan dena shuru kar diya!

Ab jab adhan barah bajay hone lagi to hamare saath ghair Muslimon ko bhi pareshani hui. Woh hum se sawal karte ke aisa kya hua ke ek zamane se jo adhan ek bajay hoti thi woh ab barah bajay kyun hone lagi? Humein to pata tha lekin unhein samjhana aasaan nahi tha. Deen mein naye kaam daakhil karne ka tana dene walon ne hi khud naye naye kaam izaad kiye hain.

Hamare ilaqe mein pehle un logon ka naam-o-nishaan nahi tha. Phir jab yeh kahin se aaye to yahan ke bhule bhale Musalmanon ko apne jaal mein phansaya aur kahin chikni chupri baaton se to kahin maal de kar bhi logon ko apni taraf mael kiya. Jab unho ne nayi nayi baatein bayan karna shuru ki to Musalmanon ko badi mushkilat pesh aayi. Aapas mein behasien shuru ho gayi. Maar peet tak hui. Masajid mein talay tak lage.

Alhasil yeh ke jo Musalman aman o sukoon ke saath zindagi basar kar rahe thay un ke darmiyan fitna-fasad ki aag jala di gayi aur apne siwa poori ummat par shirk ke fatwe lagaye gaye!

Allah Ta'ala Musalmanon ko un ke fitnon se mahfooz rakhe.

Abd Mustafa
Muhammad Sabir Qadri
December 17, 2023 AD

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post