Ek Din Imam Ibne Jareer Rahimahullah Ne Apne Shagirdo Se Farmaya Ke Agar Main Quran Ki Tafseer Likhu To Tum Padhoge?
Shagirdo Ne Kaha Ke Kitni Badi Tafseer Hogi?
Farmane Lage Ke 30,000 (Tees Hazaar) Awraaq (Pages) Par Mushtamil Hogi!
Shagird Kehne Lage Ke Itni Lambi Tafseer Padhne Ke Liye Itni Lambi Umar Kahan Se Layenge?
Phir Imam Ibne Jareer Rahimahullah Ne Teen Hazaar Awraaq Par Mushtamil Tafseer Likhi (Allahu Akbar)
(متاع وقت اور کاروان علم، ص184 بہ حوالہ علم اور علما کی اہمیت، ص20، شیخ الحدیث والتفسیر مفتی محمد قاسم قادری حفظہ اللہ، مکتبہ اہل سنت پاکستان)
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here