Aala Hazrat Aur Taqreer 

Imam -e- Ahle Sunnat, Aala Hazrat Rahimahullah Zyada Waaz Na Farmaya Karte
Aapka Mamool Tha Ke Saal Mein Teen Waaz Mustaqilan Farmaya Karte

Har Kisi Ki Taqreer Nahin Sunte The :-
Hazrat Allama Mufti Amjad Ali Aazmi Rahimahullah Farmate Hain Ke Aala Hazrat Ki Aadat Thi Ke Do Teen Aadmiyo Ke Ilawa Kisi Ki Taqreer Nahin Sunte The, Un Do Teen Aadmiyo Mein Ek Main Bhi Tha
Aala Hazrat Ye Irshad Farmaya Karte The Ke Umooman Muqarrireen Aur Waayizeen Mein Ifraat Wa Tafreet Hoti Hai, Ahadees Ke Bayaan Karne Mein Bahut Si Baatein Apni Taraf Se Mila Diya Karte Hain Aur Inko Hadees Qarar Diya Karte Hain Jo Yaqeenan Hadees Nahin Hai, Alfaaz -e- Hadees Ki Tafseer Wa Tashreeh Aur Is Mein Bayaan -e- Nikaat Amre Aakhir Hai Aur Ye Jaayez Hai Magar Nafse Hadees Mein Izafa Aur Jis Shay Ko Huzoor ﷺ Ne Na Farmaya Ho Usko Huzoor ﷺ Se Nisbat Karna Yaqeenan Hadees Ghadna Hai Jis Par Sakht Wayeed Warid Hai Lihaza Main Aisi Majalis Mein Shirkat Pasand Nahin Karta Jahan Is Qism Ki Khilaf -e- Shara Baat Ho

(ملخصاً: حیات اعلی حضرت و تذکرۂ اعلی حضرت) 

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post