Jab Imam Aamash Rahimahullah Basra Gaye To Wahan Ki Jaama Masjid Mein Tashreef Le Gaye
Aapne Masjid Mein Dekha Ke Ek Qissa Go Shakhs Ye Bayaan Kar Raha Tha Ke "Hazrat Aamash Se Hazrat Abu Is'haaq Ne Riwayat Kiya Aur Hazrat Aamash Ne Abu Waayil Se Riwayat Kiya...."
Ye Sun Kar Imam Aamash Rahimahullah Halqe (Mehfil) Ke Darmiyan Khade Ho Gaye Aur Baazu Buland Kar Ke Baghal Ke Baal Ukhadne Lage!
Jab Us Qissa Go Muqarrir Ne Imam Aamash Ko Dekha To Kehne Laga Ke "Aye Boodhe Insaan! Kya Tujhe Itni Bhi Haya Nahin Ke Hum Yahan Ilm Ki Majlis Mein Baithe Hain Aur Tu Aisa Kaam Kar Raha Hai?"
Imam Aamash Ne Farmaya Ke Main Jo Kaam Kar Raha Hoon Wo Usse Behtar Hai Jo Tum Kar Rahe Ho!
Wo Bola Ke "Kaise?"
Imam Aamash Rahimahullah Ne Farmaya : Isliye Ke Main Ek Sunnat Ada Kar Raha Hoon Aur Tu Jhoot Bol Raha Hai
Main Hi Aamash Hoon Aur Jo Kuchh Tum Bol Rahe The Us Mein Se Kuchh Bhi Maine Tumse Bayaan Nahin Kiya
Jab Logon Ne Imam Aamash Rahimahullah Ki Baat Suni To Us Qissa Go Muqarrir Se Hat Kar Aapke Gird Jama Ho Gaye Aur Arz Karne Lage Ke "Aye Abu Muhammad! Humein Ahadees -e- Mubaraka Sunaiye"
(تحذير الخواص للسیوطی، الفصل العاشر فی زیادات، ص14 بہ حوالہ قوت القلوب، ج1، ص723، ملخصاً)
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here