Laakh Gunahgar Hai Lekin Mere Sahaba Ka Gustakh To Nahin

Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah Ke Pados Mein Ek Fasiq -o- Fajir Shakhs Rehta Tha
Ek Din Usne Imam Ahmad Bin Hambal Ko Salam Kiya To Aapne Sahih Se Jawab Na Diya Aur Nakhushi Ka Izhar Kiya

Us Shakhs Ne Kaha : Aye Abu Abdullah! Aap Mujhse Nakhush Kyun Hain? Aapko Mere (Gunaho Ke) Baare Mein Jo Kuchh Maloom Hai, Ek Khwab Dekhne Ke Baad Main Usse Tauba Kar Chuka Hoon
Imam Ahmad Bin Hambal Ne Farmaya : Tumne Kya Khwab Dekha? 
Us Shakhs Ne Kaha : Mujhe Khwab Mein Jaan -e- Jahan, Sarwar -e- Kauno Makaan ﷺ Ki Is Tarah Ziyarat Huyi Ke Aap ﷺ Zameen Ke Ek Buland Hisse Par Tashreef Farma Hain Aur Bahut Se Log Niche Baithe Huye Hain
Un Mein Se Ek Ek Shakhs Uth Kar Aap ﷺ Ki Khidmat Mein Haazir Hota Aur Arz Karta Ke Huzoor Mere Liye Dua Farmayein
Aap ﷺ Har Ek Ke Liye Dua Farmate, Wahan Maujood Tamam Logon Ne Dua Karwayi, Sirf Main Baaqi Reh Gaya
Maine Khade Hone Ka Irada Kiya Lekin Apne Bure Amaal Ki Bina Par Sharma Gaya Aur Mujhe Uthne Ki Himmat Na Huyi
Rehmat -e- Aalam ﷺ Ne Irshad Farmaya : Aye Fulan, Tu Uth Kar Humare Paas Kyun Nahin Aata, Humse Dua Ki Darkhwast Kyun Nahin Karta? Taaki Hum Tere Liye Bhi Dua Karein
Maine Arz Kiya Ke Ya Rasoolallah ﷺ! Mere Kartoot Bahut Bure Hain Jiski Wajah Se Main Sharminda Hoon Aur Ye Sharmsari Mujhe Khada Hone Se Rok Rahi Hai
Sultan -e- Do Aalam ﷺ Ne Irshad Farmaya. : Agar Sharm Tujhe Khada Hone Se Rok Rahi Hai To Hum Tumhein Kehte Hain Ke Uth Kar Humse Darkhwast Karo, Hum Tumhare Liye Dua Karenge (Subhan Allah) Kyunki Tum (Gunahgar To Ho Lekin) Humare Kisi Sahabi Ko Gaali Nahin Dete (Unki Burayi Nahin Karte)

Main Uth Kar Khada Ho Gaya, Aap ﷺ Ne Mere Liye Bhi Dua Farmayi, Main Jab Bedaar Hua To Mujhe Apne Tamam Bure Kaamo Se Nafrat Ho Chuki Thi

Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah Apne Shagirdo Ko Hukm Diya Karte The Ke Is Hikayat Ko Yaad Kar Lo Aur Ise Bayan Kiya Karo Kyunki Ye Fayedemand Hain

(انظر: مصباح الظلام بہ حوالہ طبقات الحنابلہ از قاضی ابو یعلی حنبلی، 118/1)

Allah Ta'ala Humein Sahaba -e- Kiraam Ki Sachhi Muhabbat Ata Farmaye Aur Unke Gustakho Ki Sohbat Se Bachaye (Aamin)

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post