Miladun Nabi Ki Fazeelat Par Be Asal Riwayaat

Milad -e- Mustafa ﷺ Par Khushiya Manana Aur Is Par Raqam Kharch Karna Ek Jaayez Wa Mustahsan Amal Hai Lekin Iski Fazeelat Bayaan Karne Ke Liye Kisi Ghair Saabit Riwayat Ko Bayaan Karna Harghiz Durust Nahin
Miladun Nabi Par Raqam Kharch Karne Ki Fazeelat Par Hazrate Abu Bakar Siddique Radiallaho Ta'ala Anho Ka Qaul Bayaan Kiya Jaata Hai Ke "Jo Shakhs Milad Par Ek Dirham Kharch Karta Hai Wo Qayamat Ke Din Jannat Mein Mere Saath Hoga" Iske Ilawa Bhi Kuchh Milte Julte Aqwaal Khulafa -e- Rashideen Aur Deegar Buzurgaan -e- Deen Ke Hawale Se Bayaan Kiye Jaate Hain

Hazrat Maulana Muhammad Irfan Madani Hafizahullah (Al Mutakhassis Fil Fiqhe Islami) Likhte Hain Ke (Hazrate Abu Bakar Siddique Radiallaho Ta'ala Anho Ki Taraf Mansoob) Mazkoora Baala Riwayat Hadees Ki Kisi Mustanad Kitab Mein Nahin Milti
Ye Riwayat "Neamatul Kubra" Kitab Mein Maujood Hai Aur Ye Kitab Allama Ibne Hajar Makki Alaihi Rahma Ki Taraf Mansoob Hai, Lekin Asal Kitab "Neamatul Kubra" Jo Allama Ibne Hajar Makki Ki Hai Us Mein Ye Riwayat Maujood Nahin Hai Jisse Saabit Hota Hai Ke Ye Kitab Jis Mein Ye Riwayat Hai, Ye Allama Ibne Hajar Makki Ki Asal Kitab Nahin Hai

Hazrat Allama Abdul Hakeem Sharaf Qadri Alaihi Rahma Ne Iske Jo Jawabaat Diye Hain Un Mein Se Chand Peshe Khidmat Hai :-

(1) Allama Ibne Hajar Makki Duswi Sadi Ke Buzurg Hain To Laazmi Amr Hai Ke Unhone Mazkoora Baala Riwayaat Sahaba -e- Kiraam Se Nahin Suni Lihaza Wo Sanad Maloom Honi Chahiye Jis Ki Bina Par Ahadees Riwayat Ki Gayi Hain Khwah Wo Sanad Zayeef Hi Kyun Na Ho Ya In Riwayaat Ka Koi Mustanad Makhaz Milna Chahiye
Hazrat Abdullah Bin Mubarak Rahimahullah Farmate Hain Ke Asnaad Deen Se Hain, Agar Sanad Na Hoti To Jis Ke Dil Mein Jo Aata Keh Deta

(2) Hazrate Abu Huraira Radiallaho Ta'ala Anho Farmate Hain Ke Nabiye Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Meri Ummat Ke Aakhir Mein Aise Log Honge Jo Tum Ko Aisi Hadeesein Bayaan Karenge Jo Na Tumne Suni Hongi Aur Na Tumhare Aaba Ne, Tum Unse Door Rehna! 
Sawal Ye Hai Ke Khulafa -e- Rashideen Radiallaho Ta'ala Anhum Aur Deegar Buzurgan -e- Deen Ke Ye Irshadat Imam Ahmad Raza Barelvi, Shaykh Abdul Haque Muhaddise Dehelvi, Imam Rabbani Mujaddid -e- Alfe Saani, Mulla Ali Qaari, Imam Suyooti, Allama Nabhani Rahimahumullah Aur Deegar Ulama -e- Islam Ki Nigaho Se Kyun Poshida Rahe? Jabki In Hazraat Ki Wus'at -e- Ilmi Ke Apne Aur Begane Sab Hi Motarif Hain 

(3) Allama Yusuf Nabhani Rahimahullah Ne Jawahirul Bihar Ki Teesri Jild Mein Allama Ibne Hajar Makki Ke Asal Risale "Neamatul Kubra" Ki Talkhees Naqal Ki Hai Jo Khud Allama Ibne Hajar Makki Ne Tayyar Ki Thi
Asal Kitab Mein Har Baat Poori Sanad Ke Saath Bayaan Ki Gayi Thi, Talkhees Mein Sanado Ko Hazaf Kar Diya Gaya Hai 
Allama Ibne Hajar Farmate Hain Ke Meri Ye Kitab Manghadat Riwayaat Aur Mulhid Wa Muftari Logon Ke Intesab Se Khali Hai Jabki Logon Ke Haatho Mein Jo Milad Naame Paaye Jaate Hain In Mein Aksar Jhooti Wa Mauzu Riwayaat Maujood Hain
Is Kitab Mein Khulafa -e- Rashideen Aur Deegar Buzurgan -e- Deen Ke Mazkoora Baala Aqwal Ka Naamo Nishan Tak Nahin Hai
Isse Natija Nikalne Mein Koi Dushwari Nahin Aati Ke Ye Ek Jaali Kitab Hai Jo Allama Ibne Hajar Makki Ki Taraf Mansoob Kar Di Gayi Hai
Allama Syed Muhammad Aabideen Shaami (Saahib -e- Raddul Muhtaar) Ke Bhatije Allama Syed Ahmad Shaami Ne Asal Neamatul Kubra Ki Sharah Likhi Hai Jiske Muta'addad Iqtebasaat Allama Nabhani Ne Jawahirul Bihar Jild Som Mein Naqal Kiye Hain, Is Mein Bhi Khulafa -e- Rashideen Ke Mazkoora Baala Aqwal Ka Koi Zikr Nahin Hai

(مجلہ البرہان الحق،جنوری تا مارچ 2012، ص9 تا 11)

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post