Baarah Saal Pehle Doobi Huyi Baraat

Chand Kitabo Mein Huzoor Sayyiduna Ghause Aazam Radiallaho Ta'ala Anho Ki Ek Karamat Ka Zikr Milta Hai Ke Aapne 12 Saal Pehle Doobi Huyi Baraat Ko Waapas Nikal Diya 
Ye Riwayat Awaam -o- Khawas Mein Bahut Mash'hoor Hai Lihaza Mukammal Waqiya Likhne Ki Zaroorat Nahin

Is Riwayat Par Guftagu Karte Huye Khalifa -e- Aala Hazrat, Hazrat Allama Syed Deedar Ali Shah Alaihi Rahma Farmate Hain Ke Huzoor Ghause Aazam Ki Karamaat Darja -e- Tawatur Ko Pahunchi Huyi Hain Jaisa Ke Imam Yafai Ne Likha Hai Ke "Aapki Karamaat Mutawatir Ya Tawatur Ke Qareeb Hain Aur Ulama Ke Ittefaq Se Ye Amr Maloom Hai Ke Aapki Manind Karamaat Ka Zuhoor Aapke Baghair Aafaq Ke Mashaikh Mein Se Kisi Se Na Hua" Magar Ye Baraat Waali Riwayat Kisi Moatbar Ne Nahin Likhi Lekin Isse Ye Laazim Nahin Aata Ke Hazrate Ghause Paak Is Darje Ke Na The
Aksar Milad Khwan (Muqarrireen) Waqif Na Hone Ki Wajah Se Muhmal Riwayaat Auliya Wa Ambiya Ki Taraf Mansoob Kar Dete Hain Aur Ye Samajhte Hain Ke Agar Ye Yahan Ghalat Hai To Bhi Unki Tareef Humne Poori Kar Di, Ye Sawab Ki Tawaqqo Bhi Karte Hain, Khair Khuda In Par Raham Kare

Hazaaro Karamaat Auliyaullah Aur As'haab -e- Rasool Alaihissalam Se Zahir Na Huyi To Kya Jhooti Riwayat Keh Dene Se Unka Rutba Badh Jayega? Harghiz Nahin
As'haab -e- Rasool Tamam Ghauso Qutub -o- Auliya Se Afzal Hain Aur Tehqeeq Se Saabit Hai Ke Auliyaullah Ki Karamaat Aksar Ashaab Se Zyada Hain, Bahar Haal Ye Riwayat Kisi Moatbar Ne Nahin Likhi Aur Imkaan -e- Aqali Se Koi Amr Yaqeeni Nahin Ho Sakti

(ملخصاً: فتاوی دیداریہ، ص45)

Imam -e- Ahle Sunnat, Aala Hazrat Rahimahullah Se Jab Is Riwayat Ke Mutalliq Sawal Kiya Gaya To Aapne Farmaya Ke Agarche Ye Riwayat Nazar Se Kisi Kitab Mein Na Guzri Lekin Zubaan Par Mash'hoor Hai Aur Is Mein Koi Amr Khilaf -e- Shara Nahin Lihaza Is Ka Inkar Na Kiya Jaaye

(انظر: فتاوی رضویہ، ج29، ص630، ط رضا فاؤنڈیشن لاہور، س1426ھ)

Maloom Hua Ke Is Riwayat Ka Koi Moatbar Wa Mustanad Makhaz Maujood Nahin Aur Ek Pahlu Ye Hai Ke Ba Qaul Imam -e- Ahle Sunnat Is Riwayat Ka Inkar Bhi Na Kiya Jaaye Lekin Phir Bhi Hum Kehte Hain Ke Zyada Munasib Yahi Hai Ke Aisi Riwayaat Ko Bayaan Karne Se Parhez Kiya Jaaye
Hazrate Ghause Aazam Radiallaho Ta'ala Anho Ke Fazail Bayaan Karne Ke Liye Deegar Sahih Riwayaat Ko Shamil -e- Bayaan Kiya Jaaye

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post