Imam -e- Ahle Sunnat, Aala Hazrat Rahimahullah Se Sawal Hua Ke Khatoon -e- Jannat, Hazrat Fatima Radiallaho Ta'ala Anha Ki Nisbat Se Ye Bayaan Karna Ke Roze Mehshar Wo Barhana Sar -o- Paa (Yaani Nange Sar Aur Pair) Zaahir Hongi, Imam Hasan Wa Husain Ke Khoon Aalud Aur Zahar Aalud Kapde Kandhe Par Liye Huye Aur Nabiye Kareem ﷺ Ke Dandan Mubarak Jo Jung -e- Uhud Mein Shaheed Huye The Use Haath Mein Liye Huye Bargaah -e- Ilahi Mein Haazir Hongi Aur Arsh Ka Paaya Pakad Kar Hilayengi Aur Khoon Ke Muawze Mein Gunahgar Ummat Ko Bakhshwayengi, Ye Sahih Hai Ya Nahin?
Imam -e- Ahle Sunnat Jawaban Likhte Hain Ke Ye Sab Mahaz Jhoot, Iftira, Kizb, Gustakhi Aur Be Adabi Hai, Majma -e- Awwaleen Wa Aakhireen Mein Unka Barhana Tashreef Laana Jinko Barhana Sar Kabhi Aaftab Ne Nahin Dekha, Wo Ke Jab Siraat Par Se Guzar Farmayengi To Zere Arsh Se Munaadi Nida Karega Ke Aye Ahle Mehshar! Apne Sar Jhuka Lo Aur Apni Aankhein Band Kar Lo Ke Fatima Binte Muhammad ﷺ Siraat Par Guzar Farmayengi Phir Wo Noor -e- Ilahi Burq Ki Tarah Sattar Hazaar Hoorein Jalwe Mein Liye Huye Guzar Farmayega
(ملخصاً: احکامِ شریعت، ص160)
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here