Jagah Jee Lagane Ki Dunya Nahin Hai

Ek Moazzin Jis Ne 40 Saal Tak Minare Par Chadh Kar Azaan Di, Ek Din Azaan Dene Ke Liye Minare Par Chadha Aur Azaan Dete Huye Jab "Haiyya Alal Falah" Par Pahuncha To Uski Nazar Ek Nasrani Aurat Par Padi, Uski Aqal Aur Dil Jawab De Gaye
Azaan Chhod Kar Us Aurat Ke Paas Ja Pahuncha Aur Use Nikah Ka Paigham Diya, Wo Aurat Kehne Lagi Ke Mera Mehar Tujh Par Bhari Hoga
Us Shakhs Ne Kaha Ke Tera Mehar Kya Hai? 
Aurat Boli Ke Deen -e- Islam Ko Chhod Kar Mere Mazhab Mein Dakhil Ho Ja! 
Us Moazzin Ne Islam Ko Chhod Kar Us Aurat Ka Mazhab Ikhteyar Kar Liya (Maaz Allah) 

Phir Aurat Ne Kaha Ke Mera Baap Ghar Ke Nichle Kamre Mein Hai, Tum Usse Ja Kar Nikah Ki Baat Karo
Jab Wo Seedhiyo Se Niche Utarne Laga To Uska Paaon Phisal Gaya Jiski Wajah Se Kufr Ki Haalat Mein Hi Mar Gaya!!! 
Apni Shahwat Bhi Poori Na Kar Saka Aur Deen -e- Islam Se Bhi Haath Dho Baitha

(انظر: الروض الفائق ترجمہ بہ نام حکایتیں اور نصیحتیں، ص42، مکتبۃ المدینہ کراچی)

Is Zindagi Ka Koi Bharosa Nahin Ke Kab Saath Chhod De
Kya Pata Aaj Raat Hum Soyein Aur Phir Aankh Hi Na Khule
Allah Ta'ala Humein Bure Khatime Se Bachaye (Aamin) 

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post