Jhoote Muqarrir Ne Had Kar Di

Kabhi Kabhi Humein Muqarrireen Se Aisi Riwayaat Sunne Ko Milti Hai Ke Hum Hairan Wa Pareshan Ho Jaate Hain
Aise Aise Qisse Ke Na To Kabhi Aankho Ne Dekhe Aur Na Kaano Ne Sune
Aisi Riwayaat Sun Kar Awaam Bhi Khush Hoti Hai Ke Chalo Aaj Kuchh Naya Sunne Ko Mila Hai
Daur -e- Haazir Mein To Kuchh Muqarrireen Ka Yahi Rawaiyya Hai Ke Bas Kuchh Naya Hona Chahiye
Aise Muqarrireen Ko Bas Apne Bazaar Aur Apni Shohrat Ki Fikr Hoti Hai
Humare Zamane Ke Muqarrireen To Qabil -e- Tareef Hain Hi Lekin Guzishta Zamane Mein Bhi Aise Muqarrireen Guzre Hain Jinke Karname Qabil -e- Zikr Hain

Ek Martaba Imam Ahmad Bin Hambal Aur Imam Yahya Bin Muyeen Ne Ek Masjid Mein Namaz Ada Ki
Isi Dauran Ek Qissa Go Muqarrir Khada Hua Aur Usne Bayaan Shuru Kiya Ke "Mujhse Ahmad Bin Hambal Aur Yahya Bin Muyeen Ne Riwayat Ki Aur Unhone Abdur Razzaq Se Riwayat Ki, Unse Maamar Ne, Unse Qatada Ne, Unse Anas Bin Malik Ne Ke Rasoolullah ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Jis Shakhs Ne Ek Martaba Kalima -e- Tayyiba Padha To Allah Ta'ala Uske Har Lafz Se Ek Parinda Paida Farmata Hai Jiski Chonch Sone Ki Hoti Hai Aur Uske Par Marjaan Ke Hote Hain........ " Aur Phir Is Hadees Ko Itna Tool Diya Ke Taqreeban Bees Safahaat Mein Aaye

Muqarrir Sahab Ki Bayaan Karda Riwayat Sun Kar Imam Ahmad Bin Hambal Imam Yahya Bin Muyeen Ko Dekhne Lage Aur Wo Imam Ahmad Bin Hambal Ko
Imam Ahmad Bin Hambal Ne Imam Ibne Muyeen Se Puchha Ke Kya Aapne Ise Ye Hadees Bayaan Ki? To Imam Ibne Muyeen Ne Kaha Ke Khuda Ki Qasam! Maine Ye Hadees Aaj Pehli Baar Suni Hai

Jab Wo Qissa Go Apni Taqreer Se Farigh Hua To In Dono Ne Usko Bulaya Aur Imam Ibne Muyeen Ne Puchha Ke Ye Hadees Tumse Kisne Bayaan Ki? Usne Jawab Diya Ke Mujhse Ahmad Bin Hambal Ne Aur Yahya Bin Muyeen Ne Bayaan Kiya Hai_ Is Par Imam Ibne Muyeen Ne Farmaya Ke Main Hi Ibne Muyeen Hoon Aur Ye Ahmad Bin Hambal Hain Aur Hum Dono Ne Aaj Pehli Baar Ye Hadees Tumhare Moonh Se Suni Hai

Ye Sun Kar Usne Fauran Kaha Ke Are Tum Ibne Muyeen Ho? Unhone Kaha Ke Haan Main Hi Hoon To Usne Kaha Ke Maine To Suna Tha Ke Ibne Muyeen Ahmaq Hai, Aaj Is Baat Ki Tasdeeq Bhi Ho Gayi! 
Imam Ibne Muyeen Ne Puchha Ke Tumne Kaise Jaana Ke Main Ahmaq Hoon? Usne Kaha Ke Tum Samajhte Ho Ke Dunya Mein Tum Dono Ke Ilawa Koi Ahmad Bin Hambal Aur Ibne Muyeen Nahin Hai, In Ahmad Bin Hambal Ke Ilawa Maine Satra (17) Ahmad Bin Hambalo Se Ye Riwayat Suni Hai

(الجامع الاحکام القرآن، ج1، ص69؛ بہ حوالہ نقد و نظر، ص13) 

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post