Ek Buzurg Ko Kisi Ne Khaane Par Bulaya, Jab Wo Ghar Pahunche To Maazrat Kar Li Ke Khane Ko Kuchh Nahin Hai!
Teen Baar Bula Kar Aisa Hi Kiya Lekin Un Buzurg Ne Uff Tak Na Kiya
Teesri Martaba Wo Shakhs Qadmo Mein Gir Pada Aur Maafi Maangte Huye Kehne Laga Ke Maine To Aapka Imtehan Liya Tha
Ye Sun Kar Wo Buzurg Kehne Lage Ke Is Mein Maafi Maangne Ki Kyq Baat Hai? Ye Mamla To Kutte Jaisa Hai, Bulao To Chala Aata Hai Aur Dhutkaro To Chala Jaata Hai
Allahu Akbar! Daur -e- Haazir Mein Aisa Akhlaq Kahan Dekhne Ko Milta Hai
Agar Humein Koi Dawat De Kar Aisa Kare To Ayinda Se Us Ki Dawat Ko Qabool Karna To Kuja Hum Us Ki Shakal Dekhna Bhi Gawara Nahin Karenge, Abhi To Haal Ye Hai Ke Khane Mein Thodi Bahut Kami Reh Jaaye To Hum Shikayato Ke Pahaad Khade Kar Dete Hain
Allah Ta'ala Humein Akhlaq -e- Hasana Ata Farmaye Aur Takabbur Wa Riyakari Se Mehfooz Rakhe
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here