Hasnain -e- Kareemain Ki Shaan -o- Azmat Bayaan Karni Ho Ya Faruque -e- Aazam Ka Ishqe Rasool, Dono Ke Liye Ek Riwayat Kasrat Se Bayaan Ki Jaati Hai Jo Kuchh Yun Hai :-
Ek Martaba Hasnain -e- Kareemain Aur Faruque -e- Aazam Ke Bete Bachpan Mein Saath Mil Kar Khel Rahe The Ke Achanak Kisi Baat Ko Le Kar Ladayi Ho Jaati Hai! Baato Hi Baato Mein Imam Husain Radiallaho Ta'ala Anho Ne Faruque -e- Aazam Ke Shahzade Se Farmaya Ke "Tu Mera Ghulam Aur Tera Baap Mere Nana Ka Ghulam"
Ye Sun Kar Hazrate Umar Faruque Radiallaho Ta'ala Anho Ke Sahabzade Ko Bura Laga Aur Wo Is Baat Ki Shikayat Karne Ke Liye Apne Walid Ke Paas Chale Gaye
Walid Sahab Se Kaha Ke Hasnain Mujhe Aisa Aisa Kehte Hain
Hazrate Umar Faruque Radiallaho Ta'ala Anho Ne Apne Bete Se Farmaya Ke Jaao Aur Unse Ye Baat Likhwa Kar Le Aao, Chunanche Ibne Umar Ne Hasnain Kareemain Se Kaha Ke Aapne Jo Kaha Hai Use Kaghaz Par Likh Dijiye
Imam Husain Radiallaho Ta'ala Anho Ne Wahi Baat Likh Bhi Di
Jab Hazrate Umar Faruque Radiallaho Ta'ala Anho Ke Haath Mein Wo Kaghaz Diya Gaya To Aap Use Chumne Lage Aur Bahut Khush Huye, Phir Apne Bete Se Farmaya Ke Beta Ab Mujhe Maidan -e- Hashr Ka Koi Khauf Nahin Kyunki Mujhe Aale Rasool Ne Rasoolullah Ka Ghulam Likh Diya Hai, Is Chitthi Ko Mere Kafan Mein Rakh Dena Taaki Munkar Nakeer Mujhse Sawalaat Na Karein, Phir Aapne Apne Bete Ko Naseehat Karte Huye Hasnain Kareemain Ke Fazail Bataye Aur Unki Ghulami Karne Ka Hukm Diya
Ye Waqiya Mukhtalif Alfaaz Mein Bayaan Kiya Jaata Hai
Ye Waqiya Itna Mash'hoor Hai Ke Aksar Muqarrireen Ise Bayaan Karte Hain
Humne Kitabo Mein Ise Talash Kiya Lekin Humein Nahin Mila, Iske Bar Aks Jo Mila Wo Peshe Khidmat Hai :-
Hazrat Allama Mufti Shah Muhammad Ajmal Qadri Rahimahullah Se Isi Waqiye Ke Mutalliq Sawal Kiya Gaya Ke Ye Waqiya Sahih Hai Ya Ghalat? Saayil Ne Ye Bhi Likha Hai Ke Is Waqiye Par Sufi Azeez Ahmad Sahab Barelwi Aur Chand Ulma Ne Aitraz Kiya Hai
Aapne Jawab Mein Tehreer Farmaya :-
Ye Waqiya Kisi Arabi Ki Moatbar Wa Mustanad Kitab Mein Meri Nazar Se Nahin Guzra To Yaqeen Ke Saath Na Isko Sahih Kaha Ja Sakta Hai Na Ghalat
(فتاوی اجملیہ، ج4، ص629، ط شبیر برادرز لاہور، س2005ء)
Abde Mustafa Kehta Hai Ke Jo Hazraat Is Riwayat Ko Bayaan Karte Hain Un Par Lazim Hai Ke Hawala Bhi Bayaan Karein Aur Kisi Bhi Riwayat Ko Bayaan Karne Se Pehle Is Baat Ko Madde Nazar Rakhein Ke Sirf Mash'hoor Hone Ki Wajah Se Kisi Riwayat Ko Bayaan Karna Durust Nahin
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here