Hazrate Sayyiduna Anas Radiallaho Ta'ala Anho Bayaan Karte Hain Ke Nabiye Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya :
Logon Par Ek Aisa Bhi Zamana Aayega Ke Jab Wo Masajid Ki Tameer Mein Ek Dusre Ke Saamne Fakhr Ka Izhar Karenge Aur Un Mein Se Thode Log Inhein (Masajid Ko Namazo Se) Aabad Karenge
(صحیح ابن خزیمہ، ج2، باب کراھة التباھی فی بناء المساجد... الخ، ر1321، ط شبیر برادرز لاہور)
Huzoor ﷺ Ne Jo Kuchh Farmaya Wo Harf Ba Harf Haque Hai Aur Aaj Hum Apni Aankho Se Iska Mushahida Kar Rahe Hain
Aalishan Masajid Tameer Kar Di Gayi Hain, Ek Martaba Mein Hazaaro Balki Kahin Kahin Laakho Log Namaz Ada Kar Sakte Hain Lekin Namaz Padhne Waale Gine Chune Log Hain
Fajar Ki Namaz Mein Baaz Maqamat Par Kabhi Kabhar Aisa Bhi Hota Hai Ke Imam Aur Moazzin Ke Ilawa Teesra Koi Nahin Pahunchta
Masajid Ki Tameer Mein Ek Dusre Ke Saamne Fakhr Ka Izhar To Yun Kiya Jaata Hai Jaise Isi Ke Mutabiq Humein Aakhirat Mein Aala Darja Diya Jaana Hai
Allah Ta'ala Humein Masajid Ko Aabad Karne Ki Toufique Ata Farmaye
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here