Bas Tumhari Lagan

Hazrate Sultanul Aarifeen, Sultan Baahu Rahimahullahu Ta'ala Zameen (Khet) Mein Hal Chala Rahe The Ke Hinduo Ki Ek Baraat Ka Wahan Se Guzar Hua Jo Apna Raasta Bhool Chuki Thi
Us Baraat Ko Qareeb Ke Ek Gaaon Ahmad Pur Jaana Tha, Unhone Aap Alaihi Rahma Se Puchha Ke Humein Ahmad Pur Jaana Hai, Raasta Kidhar Se Hai? 
Aap Ne Farmaya : Bata Doon Ya Pahuncha Doon? 
Ye Jawab Sun Kar Wo Log Hairan Huye Phir Kehne Lage Ke Baba Ji! Pahuncha Do
Aap Ne Farmaya Ke Aankhein Band Karo...... Ab Kholo, Aankhein Khuli To Rauza -e- Rasool ﷺ Saamne Tha Aur Baraat Madina -e- Munawwara Mein Khadi Thi! 
Unhone Kaha Ke Baba Ji! Ye (To Wo) Ahmad Pur Nahin Hai Jahan Hum Ne Jaana Hai To Aap Ne Farmaya Ke Main To Isi Ahmad Pur Ko Jaanta Hoon! 

(ملخصاً: شرح حدائق بخشش، ص159)

Huzoor ﷺ Se Sachhi Muhabbat Karne Waale Humesha Aap ﷺ Ki Yaado Mein Khoye Rehte Hain, Un Ki Nazro Mein Bas Madine Ki Tasveer Hoti Hai, Unhein Har Wo Mehfil Pasand Aati Hai Jis Mein Huzoor ﷺ Ki Baatein Ho, Har Wo Zikr Suhana Lagta Hai Jis Mein Huzoor ﷺ Ka Zikr Shamil Ho, Bas Unhi Ki Lagan....., 

Inhein Jaana, Inhein Maana, Na Rakha Ghair Se Kaam
Lillahil Hamd Main Dunya Se Musalman Gaya

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post