(Part 2)
Waqar -e- Millat Alaihi Rahma Se Dusre Maqam Par Sawal Kiya Gaya Ke Professor Tahirul Qadri Ahle Sunnat Wa Jama'at Se Talluq Rakhte Hain Ya Nahin? Aur Humein Inke Baare Mein Kya Raaye Rakhni Chahiye? Inke Baare Mein Ek Risale Mein Padha Hai Ke Ye Deobandiyo Ke Pichhe Namaz Ko Jaayez Samajhte Hain Aur Unse Jo Ikhtelafaat Hain Use Furooyi Gardante Hain To Iska Waazeh Matlab Hai Ke Ye Gustakhaan -e- Rasool ﷺ Ko Kafir Nahin Samajhte Aur Ye Ke Inke Nazdeek Ikhteram -e- Rasool Bhi Furooyi Mas'ala Hai, To Kya Ye Shakhs
"مَن شك فی کفره و عذابه فقد کفر"
(Jo In Gustakhaan -e- Rasool Ke Kufr Aur Azaab Mein Shak Kare Wo Kafir Hai) Ke Tahat Aayega Ya Nahin?
Aap Alaihi Rahma Jawab Mein Likhte Hain Ke Professor Tahirul Qadri Ka Kehna Yahi Hai Ke Ye Ikhtelafaat Furooyi Hain
28 September 1987 Ke Jung Akhbar Mein Ye Khabar Chhapi Hai Ke Inhone Hotel Mein Aurato Se Khitab Kiya, Ek Khatoon Ne Jab Inse Sawal Kiya Ke Jab Islam Ittehad Ka Dars Deta Hai To Phir Itne Firqe Kyun?
Is Par Professor Tahirul Qadri Sahab Ne Jawab Diya Ke Tamam Firqo Ki Bunyad Ek Hai, Sirf Juda Juda Tariqa Hai Isliye Ittehad Mutassir Nahin Hota Aur Inhone Apne Interview Mein Pehle Bhi Kaha Tha Ke Inke Yahan Do Mudarras Deobandi Hain Aur Ek Shia Hai Lihaza Isi Se Andaza Kar Lijiye Ke In Ke Khayal Mein Aur "Nadwa" Waalo Ke Khayaal Wa Etiqad Mein Kya Farq Hai
(وقار الفتاوی، ج1، ص325، 326)
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here