Dr. Tahir Aur Waqar -e- Millat
(Part 3)

Waqar -e- Millat Alaihi Rahma Se Ek Aur Maqam Par Sawal Kiya Gaya Ke Zaid Kehta Hai Ke Dr. Tahirul Qadri Ek Sachhe Aashiq -e- Rasool Hain Aur Ikhlaas Ke Saath Deen Ki Khidmat Karne Waale Hain, Mujhe Tahirul Qadri Ki Is Baat (Ke Deobandiyo Ke Pichhe Namaz Jaayez Hai) Ke Ilawa Tamam Baato Se Ittefaq Hai Aur Main Inke Kaamo Se Mutmain Hoon Aur Inhein Badmazhabo Ka Chahne Waala Nahin Samajhta Lihaza Ye Irshad Farmayein Ke :
(1) Kya Zaid Ke Pichhe Namaz Padhna Durust Hai? 
(2) Zaid Ke Aur Ahle Sunnat Ke Aqaid Mein Jo Farq Hain Use Waazeh Farma Dein

Waqar -e- Millat Alaihi Rahma Farmate Hain Ke Is Zamane Mein Islam Ka Daawa Karne Waale Mukhtalif Giroh Hain Aur Har Ek Yahi Daawa Karta Hai Ke Main Aashiq -e- Rasool Hoon Magar Kisi Shakhs Ke Stage Par (Diye Gaye) Bayanaat Se Uske Aqaid Ka Pata Nahin Lagaya Ja Sakta Hai
Kisi Shakhs Ke Aqeede Aur Mazhab Ka Pata Uski Tehreero Se Chalta Hai, Tahirul Qadri Bahut Zamane Se Apne Interviews Mein Ye Kehta Raha Hai Ke Shia, Deobandi, Ghair Muqallid Aur Barelvi Chaaro Mazahib Mein Furooyi Ikhtelafat Hain! In Mein Usooli Ikhtelaf Nahin

Is Ka Matlab Ye Hua Ke Hazrate Ayesha Siddiqa Radiallaho Ta'ala Anha Par Tohmat Lagana, Hazrate Abu Bakar Wa Umar Radiallaho Ta'ala Anhuma Ko Khalifa -e- Bar Haque Na Janna, In Ki Khilafat Ka Inkar Karna, Quraan -e- Kareem Ko Bayaaz -e- Usmani Samajhna, Ye Tamam Baatein Professor Sahab Ki Nazar Mein Furooyi Hain Halanki Khilafat -e- Abu Bakar Ke Haque Hone Par Sahaba -e- Kiraam Ka Ijma Hai Aur Ijma -e- Sahaba Ka Munkir Kafir Hai
Hazrate Ayesha Siddiqa Par Tohmat Lagane Waala Quraan Ka Munkir Hai Aur Quraan Ko Bayaaz -e- Usmani Kehne Waala Bhi Kafir Hai

Tahirul Qadri Ne Apne Is Aqeede Ki Khul Kar Tayeed Kar Di Hai
Minhajul Quraan Jo Inka Apna Risala Hai Us Ke December 1990 Ke Shumare Mein Chhapa Hai :
Maujuda Naazuk Halaat Mein Ahle Tashee Ko Kafir Qarar Dene Waale Aur Bhole Bhaale Musalmano Mein Is Ka Propaganda Karne Waale Baaz Khud Parast Inteha Pasand Molvi Sahibaan To Ho Sakte Hain Ahle Sunnat Wa Jama'at Hargiz Nahin Ho Sakte

Iske Chand Sutoor Baad Likha Hai :
Is Haqeeqat -e- Baahira Aur Burhaan -e- Qatia Ke Bawajood Ahle Tashee Ko Bil Majmoo Kafir Samajhna, Kehna Ya Qarar Dena Mutlaqan Baatil Hai, Bilkul Isi Nahaj Par Koi Firqa Ya Koi Fard Ahle Sunnat Ko Kafir Samjhe, Kahe Ya Qarar De Wo Bhi Qatayi Taur Par Baatil Hoga
Dar Haqeeqat Hanafi, Deobandi, Barelvi, Shia, Maaliki, Hambali, Shafayi Aur Ahle Hadees Sab Ke Sab Musalman Hain, In Firqo Mein Furooyi Ikhtelaf To Bahar Taur Maujood Hain Magar Bunyadi Ikhtelaf Koi Nahin 

Deobandiyo Ki Tauheen -e- Nabi Par Mushtamil Wo Kitabein Jin Par Ulama -e- Haram, Shaam Wa Misr Ne Hukme Takfeer Kiya Aur Ye Likha :
"مَن شك فی کفره و عذابه فقد کفر"
Jo Is Mein Shak Kare Wo Bhi Kafir Hai

Wo Kitabein Ab Tak Isi Tarah Chhap Rahi Hain, Professor Ke Nazdeek Ye Bhi Furooyi Ikhtelafaat Hain
In Chand Misalo Se Ye Zaahir Ho Gaya Ke Professor Sahab Ka Ek Naya Mazhab Hai Aur Inke Mazhab Ke Mutabiq In Baatil Firqo Aur Ahle Sunnat Mein Koi Farq Nahin Hai Wo Sab Ko Musalman Samajhte Hain Aur Unke Pichhe Namaz Padhna Jaayez Samajhte Hain
Zaid Ka Qaul Agar Nawaqifi Ki Bina Par Hai To Use Samajhna Chahiye Aur Unko Aashiq -e- Rasool Ke Bajaye Islam Ka Barbad Karne Waala Kehna Chahiye, Agar Zaid Jaan Boojh Kar Aisa Kehta Hai To Us Ka Bhi Wahi Hukm Hai Jo Ulama -e- Haramain Ne Bayaan Kiya Hai Lihaza Us Ki Imamat Baatil Wa Najayez Hai, Musalmano Ko Isse Ijtenab Karna Chahiye

(وقار الفتاوی، ج1، ص326 تا 328)

Abde Mustafa

Post a Comment

Leave Your Precious Comment Here

Previous Post Next Post