(Part 4)
Waqar -e- Millat Alaihi Rahma Se Ek Sawal Ye Kiya Gaya Ke Idara -e- Minhajul Quraan Ke Baani Professor Tahirul Qadri Ka Programe Maslak -e- Ahle Sunnat Ki Tarweej -o- Taraqqi Ke Liye Hai Ya Nahin? Aur Jo Molvi Professor Tahirul Qadri Ke Ham Khayal Hain Wo Maslak -e- Ahle Sunnat Se Talluq Rakhte Hain Ya Nahin? Aise Molviyo Ke Pichhe Namaz Padhna Sharayi Lihaz Se Durust Hai Ya Nahin?
Aap Alaihi Rahma Jawab Mein Farmate Hain Ke Tahirul Qadri Ne Jab Ye Kehna Shuru Kiya Ke Barelvi, Deobandi, Ghair Muqallid Aur Shia Ke Ikhtelafat Furooyi Hain Aur Sab Ko Musalman Shumar Kiya To Is Se Zaahir Ho Gaya Ke Wo Pakistan Mein Naya "Nadwa" Qaayim Kar Raha Hai Aur Is Ke Nazdeek Hazrate Abu Bakar Wa Umar Radiallaho Ta'ala Anhuma Ko Gaali Dena Aur Hazrate Ayesha Siddiqa Radiallaho Ta'ala Anha Par Tohmat Lagana Bhi Furooyi Baat Hai Aur Is Ke Nazdeek Ye Log Musalman Hain Aur Jin Logon Ki Kitabein Tauheen -e- Nabi Se Bhari Padi Hain Unko Bhi Musalman Qarar Dena Inke Maz'uma Furooyi Ikhtelaf Ka Natija Hai Lihaza Aisa Shakhs Sunni Kaise Ho Sakta Hai? Aur Ab Haal Hi Mein Jin Partiyo Se Ittehad Kiya Hai Usse Bhi Ye Haqeeqat Aashkaar Ho Jaati Hai
Ye Shakhs Sunniyat Ko Tabaah Karne Waala Hai
Ahle Sunnat Se Is Ka Koi Talluq Nahin Hai, Is Ke Ham Khayal Aur Ham Nawa Molvi, Imam, Imamat Ke Laayeq Nahin
Ahle Sunnat In Se Apne Talluqaat Munqata Kar Lein
(وقار الفتاوی، ج1، ص328)
Abde Mustafa
Post a Comment
Leave Your Precious Comment Here